dil hamaara ho gaya veeraan sehra ki tarah | दिल हमारा हो गया वीरान सहरा की तरह - Ayush Charagh

dil hamaara ho gaya veeraan sehra ki tarah
mar gaya pyaasa yahan har khwaab chidiya ki tarah

is ka apni hi rawaani par nahin hai ikhtiyaar
zindagi shiv ki jataaon mein hai ganga ki tarah

har muqadama de raha hai jism par kode hazaar
main adaalat mein rakha hoon paak geeta ki tarah

ya to koi chaahne waala yahan mera na ho
aur koi ho to ho radha ya meera ki tarah

zindagi meri ab us ki qabr mein mahfooz hai
vo jo mere dil mein rehta hai tamannaa ki tarah

ek din mumkin hai main islaam ka chehra banuun
darmiyaan logon ke hoon filhaal charcha ki tarah

daagh hain jaan-o-jigar mein dil bana hai aag se
meer hoon par hain mere ashaar sauda ki tarah

दिल हमारा हो गया वीरान सहरा की तरह
मर गया प्यासा यहाँ हर ख़्वाब चिड़िया की तरह

इस का अपनी ही रवानी पर नहीं है इख़्तियार
ज़िंदगी शिव की जटाओं में है गंगा की तरह

हर मुक़दमा दे रहा है जिस्म पर कोड़े हज़ार
मैं अदालत में रखा हूँ पाक गीता की तरह

या तो कोई चाहने वाला यहाँ मेरा न हो
और कोई हो तो हो राधा या मीरा की तरह

ज़िंदगी मेरी अब उस की क़ब्र में महफ़ूज़ है
वो जो मेरे दिल में रहता है तमन्ना की तरह

एक दिन मुमकिन है मैं इस्लाम का चेहरा बनूँ
दरमियाँ लोगों के हूँ फ़िलहाल चर्चा की तरह

दाग़ हैं जान-ओ-जिगर में दिल बना है आग से
'मीर' हूँ पर हैं मिरे अशआ'र 'सौदा' की तरह

- Ayush Charagh
0 Likes

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ayush Charagh

As you were reading Shayari by Ayush Charagh

Similar Writers

our suggestion based on Ayush Charagh

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari