sab rang mein us gul ki mere shaan hai maujood | सब रंग में उस गुल की मिरे शान है मौजूद

  - Bahadur Shah Zafar

sab rang mein us gul ki mere shaan hai maujood
ghaafil tu zara dekh vo har aan hai maujood

har taar ka daaman ke mere kar ke tabarruk
sar-basta har ik khaar-e-bayaabaan hai maujood

uryaani-e-tan hai ye b-az-khilat-e-shaahi
ham ko ye tire ishq mein samaan hai maujood

kis tarah lagaave koi daamaan ko tire haath
hone ko tu ab dast-o-garebaan hai maujood

leta hi raha raat tire rukh ki balaaen
tu pooch le ye zulf-e-pareshaan hai maujood

tum chashm-e-haqeeqat se agar aap ko dekho
aaina-e-haq mein dil-e-insaan hai maujood

kehta hai zafar hain ye sukhun aage sabhon ke
jo koi yahan saahib-e-irfaan hai maujood

सब रंग में उस गुल की मिरे शान है मौजूद
ग़ाफ़िल तू ज़रा देख वो हर आन है मौजूद

हर तार का दामन के मिरे कर के तबर्रुक
सर-बस्ता हर इक ख़ार-ए-बयाबान है मौजूद

उर्यानी-ए-तन है ये ब-अज़-ख़िलअत-ए-शाही
हम को ये तिरे इश्क़ में सामान है मौजूद

किस तरह लगावे कोई दामाँ को तिरे हाथ
होने को तू अब दस्त-ओ-गरेबान है मौजूद

लेता ही रहा रात तिरे रुख़ की बलाएँ
तू पूछ ले ये ज़ुल्फ़-ए-परेशान है मौजूद

तुम चश्म-ए-हक़ीक़त से अगर आप को देखो
आईना-ए-हक़ में दिल-ए-इंसान है मौजूद

कहता है 'ज़फ़र' हैं ये सुख़न आगे सभों के
जो कोई यहाँ साहिब-ए-इरफ़ान है मौजूद

  - Bahadur Shah Zafar

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari