qaaroon utha ke sar pe suna ganj le chala | क़ारूँ उठा के सर पे सुना गंज ले चला - Bahadur Shah Zafar

qaaroon utha ke sar pe suna ganj le chala
duniya se kya bakheel b-juz ranj le chala

minnat thi bosa-e-lab-e-sheereen ki dil mera
mujh ko soo-e-mazaar-e-shakar ganj le chala

saaqi sambhaalta hai to jaldi mujhe sambhaal
warna uda ke paan nasha-e-banj le chala

dauda ke haath chaati pe ham un ki yun phire
jaise koi chor aa ke ho naaranj le chala

chausar ka lutf ye hai ki jis waqt po pade
ham bar-chahaar bole to bar-panj le chala

jis dam zafar ne padh ke ghazal haath se rakhi
aankhon pe rakh har ek sukhan-sanj le chala

क़ारूँ उठा के सर पे सुना गंज ले चला
दुनिया से क्या बख़ील ब-जुज़ रंज ले चला

मिन्नत थी बोसा-ए-लब-ए-शीरीं कि दिल मिरा
मुझ को सू-ए-मज़ार-ए-शकर गंज ले चला

साक़ी सँभालता है तो जल्दी मुझे संभाल
वर्ना उड़ा के पाँ नशा-ए-बंज ले चला

दौड़ा के हाथ छाती पे हम उन की यूँ फिरे
जैसे कोई चोर आ के हो नारंज ले चला

चौसर का लुत्फ़ ये है कि जिस वक़्त पो पड़े
हम बर-चहार बोले तो बर-पंज ले चला

जिस दम 'ज़फ़र' ने पढ़ के ग़ज़ल हाथ से रखी
आँखों पे रख हर एक सुख़न-संज ले चला

- Bahadur Shah Zafar
0 Likes

Maikada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Maikada Shayari Shayari