jo samajhna chahiye tha vo kahaan samjha tha main
is jahaan-e-rang-o-boo ko khaak-daan samjha tha main
waqt ki thokar ne zaahir kar diye jauhar mere
zindagi ko apni sang-e-raayegaan samjha tha main
us ne bhar di jaan-o-dil mein ik nayi taabindagi
jis nigah-e-garm ko barq-e-tapaan samjha tha main
apni hi kotaah-dasti ka nikal aaya qusoor
kal jise be-mehri-e-peer-e-mughaan samjha tha main
जो समझना चाहिए था वो कहाँ समझा था मैं
इस जहान-ए-रंग-ओ-बू को ख़ाक-दाँ समझा था मैं
वक़्त की ठोकर ने ज़ाहिर कर दिए जौहर मिरे
ज़िंदगी को अपनी संग-ए-राएगाँ समझा था मैं
उस ने भर दी जान-ओ-दिल में इक नई ताबिंदगी
जिस निगाह-ए-गर्म को बर्क़-ए-तपाँ समझा था मैं
अपनी ही कोताह-दस्ती का निकल आया क़ुसूर
कल जिसे बे-मेहरी-ए-पीर-ए-मुग़ाँ समझा था मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhtiyar Ziya
our suggestion based on Bakhtiyar Ziya
As you were reading Waqt Shayari Shayari