ab to neenden bhi hui hain khwaab aankhon ke liye | अब तो नींदें भी हुई हैं ख़्वाब आँखों के लिए

  - Dharmesh bashar

ab to neenden bhi hui hain khwaab aankhon ke liye
raat bhar rehta hai bistar ka badan toota hua

jaane kya-kya khwaab bun jaate hain dhaage saans ke
taankti ho jab bhi kurte ka button toota hua

अब तो नींदें भी हुई हैं ख़्वाब आँखों के लिए
रात भर रहता है बिस्तर का बदन टूटा हुआ

जाने क्या-क्या ख़्वाब बुन जाते हैं धागे साँस के
टाँकती हो जब भी कुर्ते का बटन टूटा हुआ

  - Dharmesh bashar

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dharmesh bashar

As you were reading Shayari by Dharmesh bashar

Similar Writers

our suggestion based on Dharmesh bashar

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari