achha tumhaare shehar ka dastoor ho gaya
jis ko gale laga liya vo door ho gaya
kaaghaz mein dab ke mar gaye keede kitaab ke
deewaana be-padhe-likhe mashhoor ho gaya
mahlon mein ham ne kitne sitaare saja diye
lekin zameen se chaand bahut door ho gaya
tanhaaiyon ne tod di ham dono ki ana
aaina baat karne pe majboor ho gaya
daadi se kehna us ki kahaani sunaaiye
jo baadshaah ishq mein mazdoor ho gaya
subh-e-visaal pooch rahi hai ajab sawaal
vo paas aa gaya ki bahut door ho gaya
kuchh fal zaroor aayenge roti ke ped mein
jis din mera mutaalba manzoor ho gaya
अच्छा तुम्हारे शहर का दस्तूर हो गया
जिस को गले लगा लिया वो दूर हो गया
काग़ज़ में दब के मर गए कीड़े किताब के
दीवाना बे-पढ़े-लिखे मशहूर हो गया
महलों में हम ने कितने सितारे सजा दिए
लेकिन ज़मीं से चाँद बहुत दूर हो गया
तन्हाइयों ने तोड़ दी हम दोनों की अना!
आईना बात करने पे मजबूर हो गया
दादी से कहना उस की कहानी सुनाइए
जो बादशाह इश्क़ में मज़दूर हो गया
सुब्ह-ए-विसाल पूछ रही है अजब सवाल
वो पास आ गया कि बहुत दूर हो गया
कुछ फल ज़रूर आएँगे रोटी के पेड़ में
जिस दिन मिरा मुतालबा मंज़ूर हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Gareebi Shayari Shayari