agar yaqeen nahin aata to aazmaaye mujhe
vo aaina hai to phir aaina dikhaaye mujhe
ajab charaagh hoon din raat jalta rehta hoon
main thak gaya hoon hawa se kaho bujaaye mujhe
main jis ki aankh ka aansu tha us ne qadr na ki
bikhar gaya hoon to ab ret se uthaaye mujhe
bahut dinon se main in pattharon mein patthar hoon
koi to aaye zara der ko rulaaye mujhe
main chahta hoon ki tum hi mujhe ijaazat do
tumhaari tarah se koi gale lagaaye mujhe
अगर यक़ीं नहीं आता तो आज़माए मुझे
वो आइना है तो फिर आइना दिखाए मुझे
अजब चराग़ हूँ दिन रात जलता रहता हूँ
मैं थक गया हूँ हवा से कहो बुझाए मुझे
मैं जिस की आँख का आँसू था उस ने क़द्र न की
बिखर गया हूँ तो अब रेत से उठाए मुझे
बहुत दिनों से मैं इन पत्थरों में पत्थर हूँ
कोई तो आए ज़रा देर को रुलाये मुझे
मैं चाहता हूँ कि तुम ही मुझे इजाज़त दो
तुम्हारी तरह से कोई गले लगाए मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Neend Shayari Shayari