ghazalon ka hunar apni aankhon ko sikhaayenge
roenge bahut lekin aansu nahin aayenge
kah dena samundar se ham os ke moti hain
dariya ki tarah tujh se milne nahin aayenge
vo dhoop ke chappar hon ya chaanv ki deewarein
ab jo bhi uthaayenge mil jul ke uthaayenge
jab saath na de koi awaaz hamein dena
ham phool sahi lekin patthar bhi uthaayenge
ग़ज़लों का हुनर अपनी आँखों को सिखाएँगे
रोएँगे बहुत लेकिन आँसू नहीं आएँगे
कह देना समुंदर से हम ओस के मोती हैं
दरिया की तरह तुझ से मिलने नहीं आएँगे
वो धूप के छप्पर हों या छाँव की दीवारें
अब जो भी उठाएँगे मिल जुल के उठाएँगे
जब साथ न दे कोई आवाज़ हमें देना
हम फूल सही लेकिन पत्थर भी उठाएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Aansoo Shayari Shayari