hamaara dil savere ka sunhara jaam ho jaaye | हमारा दिल सवेरे का सुनहरा जाम हो जाए

  - Bashir Badr

hamaara dil savere ka sunhara jaam ho jaaye
charaagon ki tarah aankhen jalen jab shaam ho jaaye

kabhi to aasmaan se chaand utre jaam ho jaaye
tumhaare naam ki ik khoob-soorat shaam ho jaaye

ajab haalaat the yun dil ka sauda ho gaya aakhir
mohabbat ki haveli jis tarah neelaam ho jaaye

samundar ke safar mein is tarah awaaz de ham ko
hawaaein tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaaye

mujhe maaloom hai us ka thikaana phir kahaan hoga
parinda aasmaan choone mein jab naakaam ho jaaye

ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye

हमारा दिल सवेरे का सुनहरा जाम हो जाए
चराग़ों की तरह आँखें जलें जब शाम हो जाए

कभी तो आसमाँ से चाँद उतरे जाम हो जाए
तुम्हारे नाम की इक ख़ूब-सूरत शाम हो जाए

अजब हालात थे यूँ दिल का सौदा हो गया आख़िर
मोहब्बत की हवेली जिस तरह नीलाम हो जाए

समुंदर के सफ़र में इस तरह आवाज़ दे हम को
हवाएँ तेज़ हों और कश्तियों में शाम हो जाए

मुझे मालूम है उस का ठिकाना फिर कहाँ होगा
परिंदा आसमाँ छूने में जब नाकाम हो जाए

उजाले अपनी यादों के हमारे साथ रहने दो
न जाने किस गली में ज़िंदगी की शाम हो जाए

  - Bashir Badr

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari