pichhli raat ki narm chaandni shabnam ki khunkee se racha hai | पिछली रात की नर्म चाँदनी शबनम की ख़ुनकी से रचा है - Bashir Badr

pichhli raat ki narm chaandni shabnam ki khunkee se racha hai
yun kehne ko us ka tabassum barq-sifat hai shola-numa hai

waqt ko maah-o-saal ki zanjeeron mein jakad kar kya paaya hai
waqt to maah-o-saal ki zanjeeron mein aur bhi tez badha hai

ik ma'soom se pyaar ka tohfa ghar ke aangan mein paaya tha
us ko gham ke paagal-pan mein kothe kothe baant diya hai

aansu taare rang gulaab sabhi pardes chale jaate hain
aakhir aakhir tanhaai hai kis ne kis ka saath diya hai

nazm ghazal afsaana geet ik tarah hi gham tha jis ko hum ne
kaisa kaisa naam diya hai kaise kaise baant liya hai

aahon ke baadal kyun dil mein bin barase hi laut gaye hain
ab ke baras saawan ka mahina kaisa pyaasa pyaasa gaya hai

phool si har tasveer mein zehan ki deewaron se utaar chuka hoon
phir bhi dil mein kaanta sa kyun rah rah kar chubhta rehta hai

majboori thi sabr kiya hai paanv ko tod ke baith rahe hain
nagri nagri dekh chuke hain dwaare dwaare jhaank liya hai

mujh ko un sacchi baaton se apne jhooth bahut pyaare hain
jin sacchi baaton se akshar insaano ka khoon baha hai

badr tumhaari fikr-e-sukhan par ik allaama hans kar bole
vo ladka nau-umr parinda ooncha udna seekh raha hai

पिछली रात की नर्म चाँदनी शबनम की ख़ुनकी से रचा है
यूँ कहने को उस का तबस्सुम बर्क़-सिफ़त है शो'ला-नुमा है

वक़्त को माह-ओ-साल की ज़ंजीरों में जकड़ कर क्या पाया है
वक़्त तो माह-ओ-साल की ज़ंजीरों में और भी तेज़ बढ़ा है

इक मा'सूम से प्यार का तोहफ़ा घर के आँगन में पाया था
उस को ग़म के पागल-पन में कोठे कोठे बाँट दिया है

आँसू तारे रंग गुलाब सभी परदेस चले जाते हैं
आख़िर आख़िर तन्हाई है किस ने किस का साथ दिया है

नज़्म ग़ज़ल अफ़्साना गीत इक तरह ही ग़म था जिस को हम ने
कैसा कैसा नाम दिया है कैसे कैसे बाँट लिया है

आहों के बादल क्यूँ दिल में बिन बरसे ही लौट गए हैं
अब के बरस सावन का महीना कैसा प्यासा प्यासा गया है

फूल सी हर तस्वीर में ज़ेहन की दीवारों से उतार चुका हूँ
फिर भी दिल में काँटा सा क्यूँ रह रह कर चुभता रहता है

मजबूरी थी सब्र किया है पाँव को तोड़ के बैठ रहे हैं
नगरी नगरी देख चुके हैं द्वारे द्वारे झाँक लिया है

मुझ को उन सच्ची बातों से अपने झूट बहुत प्यारे हैं
जिन सच्ची बातों से अक्सर इंसानों का ख़ून बहा है

'बद्र' तुम्हारी फ़िक्र-ए-सुख़न पर इक अल्लामा हँस कर बोले
वो लड़का नौ-उम्र परिंदा ऊँचा उड़ना सीख रहा है

- Bashir Badr
0 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari