kahi chaand raahon mein kho gaya kahi chaandni bhi bhatk gai | कहीं चाँद राहों में खो गया कहीं चाँदनी भी भटक गई 

  - Bashir Badr

kahi chaand raahon mein kho gaya kahi chaandni bhi bhatk gai
main charaagh vo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai

meri dastaan ka urooj tha tiri narm palkon ki chaanv mein
mere saath tha tujhe jaagna tiri aankh kaise jhapak gai

bhala ham mile bhi to kya mile wahi dooriyaan wahi faasle
na kabhi hamaare qadam badhe na kabhi tumhaari jhijak gai

tire haath se mere hont tak wahi intizaar ki pyaas hai
mere naam ki jo sharaab thi kahi raaste mein chhalk gai

tujhe bhool jaane ki koshishein kabhi kaamyaab na ho sakeen
tiri yaad shaakh-e-gulaab hai jo hawa chali to lachak gai

कहीं चाँद राहों में खो गया कहीं चाँदनी भी भटक गई 
मैं चराग़ वो भी बुझा हुआ मेरी रात कैसे चमक गई 

मिरी दास्ताँ का उरूज था तिरी नर्म पलकों की छाँव में 
मिरे साथ था तुझे जागना तिरी आँख कैसे झपक गई 

भला हम मिले भी तो क्या मिले वही दूरियाँ वही फ़ासले 
न कभी हमारे क़दम बढ़े न कभी तुम्हारी झिजक गई 

तिरे हाथ से मेरे होंट तक वही इंतिज़ार की प्यास है 
मिरे नाम की जो शराब थी कहीं रास्ते में छलक गई 

तुझे भूल जाने की कोशिशें कभी कामयाब न हो सकीं 
तिरी याद शाख़-ए-गुलाब है जो हवा चली तो लचक गई 

  - Bashir Badr

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari