hai ajeeb shehar ki zindagi na safar raha na qayaam hai | है अजीब शहर की ज़िंदगी न सफ़र रहा न क़याम है

  - Bashir Badr

hai ajeeb shehar ki zindagi na safar raha na qayaam hai
kahi kaarobaar si dopahar kahi bad-mizaaj si shaam hai

yoonhi roz milne ki aarzoo badi rakh-rakhaav ki guftugoo
ye sharaafaten nahin be-gharz ise aap se koi kaam hai

kahaan ab duaon ki barkaten vo naseehaten vo hidaayaten
ye mutaalbon ka khuloos hai ye zaruraton ka salaam hai

vo dilon mein aag lagaayega main dilon ki aag bujhaaoonga
use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai

na udaas ho na malaal kar kisi baat ka na khayal kar
kai saal ba'ad mile hain ham tire naam aaj ki shaam hai

koi naghma dhoop ke gaav sa koi naghma shaam ki chaanv sa
zara in parindon se poochna ye kalaam kis ka kalaam hai

है अजीब शहर की ज़िंदगी न सफ़र रहा न क़याम है
कहीं कारोबार सी दोपहर कहीं बद-मिज़ाज सी शाम है

यूँही रोज़ मिलने की आरज़ू बड़ी रख-रखाव की गुफ़्तुगू
ये शराफ़तें नहीं बे-ग़रज़ इसे आप से कोई काम है

कहाँ अब दुआओं की बरकतें वो नसीहतें वो हिदायतें
ये मुतालबों का ख़ुलूस है ये ज़रूरतों का सलाम है

वो दिलों में आग लगाएगा मैं दिलों की आग बुझाऊंगा
उसे अपने काम से काम है मुझे अपने काम से काम है

न उदास हो न मलाल कर किसी बात का न ख़याल कर
कई साल बा'द मिले हैं हम तिरे नाम आज की शाम है

कोई नग़्मा धूप के गाँव सा कोई नग़्मा शाम की छाँव सा
ज़रा इन परिंदों से पूछना ये कलाम किस का कलाम है

  - Bashir Badr

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari