azmatein sab tiri khudaai ki
haisiyat kya meri ikaai ki
mere honton ke phool sookh gaye
tum ne kya mujh se bewafaai ki
sab mere haath paanv lafzon ke
aur aankhen bhi roshnai ki
main hi mulzim hoon main hi munsif hoon
koi soorat nahin rihaai ki
ik baras zindagi ka beet gaya
tah jamee ek aur kaai ki
ab tarsate raho ghazal ke liye
tum ne lafzon se bewafaai ki
अज़्मतें सब तिरी ख़ुदाई की
हैसियत क्या मिरी इकाई की
मिरे होंटों के फूल सूख गए
तुम ने क्या मुझ से बेवफ़ाई की
सब मिरे हाथ पाँव लफ़्ज़ों के
और आँखें भी रौशनाई की
मैं ही मुल्ज़िम हूँ मैं ही मुंसिफ़ हूँ
कोई सूरत नहीं रिहाई की
इक बरस ज़िंदगी का बीत गया
तह जमी एक और काई की
अब तरसते रहो ग़ज़ल के लिए
तुम ने लफ़्ज़ों से बेवफ़ाई की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Life Shayari Shayari