sar jhukaoge to patthar devta ho jaayega
itna mat chaaho use vo bewafa ho jaayega
ham bhi dariya hain hamein apna hunar maaloom hai
jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega
kitni sacchaai se mujh se zindagi ne kah diya
tu nahin mera to koi doosra ho jaayega
main khuda ka naam le kar pee raha hoon dosto
zahar bhi is mein agar hoga dava ho jaayega
sab usi ke hain hawa khushboo zameen o aasmaan
main jahaan bhi jaaunga us ko pata ho jaayega
सर झुकाओगे तो पत्थर देवता हो जाएगा
इतना मत चाहो उसे वो बेवफ़ा हो जाएगा
हम भी दरिया हैं हमें अपना हुनर मालूम है
जिस तरफ़ भी चल पड़ेंगे रास्ता हो जाएगा
कितनी सच्चाई से मुझ से ज़िंदगी ने कह दिया
तू नहीं मेरा तो कोई दूसरा हो जाएगा
मैं ख़ुदा का नाम ले कर पी रहा हूँ दोस्तो
ज़हर भी इस में अगर होगा दवा हो जाएगा
सब उसी के हैं हवा ख़ुशबू ज़मीन ओ आसमाँ
मैं जहाँ भी जाऊँगा उस को पता हो जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Kashmir Shayari Shayari