sunsaan raaston se sawaari na aayegi
ab dhool se ati hui laari na aayegi
chappar ke chaaye-khaane bhi ab oonghne lage
paidal chalo ki koi sawaari na aayegi
tahreer o guftugoo mein kise dhoondte hain log
tasveer mein bhi shakl hamaari na aayegi
sar par zameen le ke hawaon ke saath ja
aahista chalne waale ki baari na aayegi
pehchaan apni ham ne mitaai hai is tarah
bacchon mein koi baat hamaari na aayegi
सुनसान रास्तों से सवारी न आएगी
अब धूल से अटी हुई लारी न आएगी
छप्पर के चाए-ख़ाने भी अब ऊँघने लगे
पैदल चलो कि कोई सवारी न आएगी
तहरीर ओ गुफ़्तुगू में किसे ढूँडते हैं लोग
तस्वीर में भी शक्ल हमारी न आएगी
सर पर ज़मीन ले के हवाओं के साथ जा
आहिस्ता चलने वाले की बारी न आएगी
पहचान अपनी हम ने मिटाई है इस तरह
बच्चों में कोई बात हमारी न आएगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Baaten Shayari Shayari