mohabbat mustaqil kaif-aafareen maaloom hoti hai | मोहब्बत मुस्तक़िल कैफ़-आफ़रीं मालूम होती है - Behzad Lakhnavi

mohabbat mustaqil kaif-aafareen maaloom hoti hai
khalish dil mein jahaan par thi wahi maaloom hoti hai

tire jalvo se takra kar nahin maaloom hoti hai
nazar bhi ek mauj-e-tah-nasheen maaloom hoti hai

nukush-e-paa ke sadqe bandagi-ishq ke qurbaan
mujhe har samt apni hi jabeen maaloom hoti hai

meri rag rag mein yun to daudti hai ishq ki bijli
kahi zaahir nahin hoti kahi maaloom hoti hai

ye ejaz-e-nazar kab hai ye kab hai husn ki kaavish
haseen jo cheez hoti hai haseen maaloom hoti hai

umeedein tod de mere dil-e-muztar khuda-haafiz
zabaan-e-husn par ab tak nahin maaloom hoti hai

use kyun may-kada kehta hai batla de mere saaqi
yahan ki sar-zameen khuld-e-bareen maaloom hoti hai

are ai chaara-gar haan haan khalish tu jis ko kehta hai
ye shay dil mein nahin dil ke qareen maaloom hoti hai

kisi ke paa-e-naazuk par jhuki hai aur nahin uthati
mujhe bahzaad ye apni jabeen maaloom hoti hai

मोहब्बत मुस्तक़िल कैफ़-आफ़रीं मालूम होती है
ख़लिश दिल में जहाँ पर थी वहीं मालूम होती है

तिरे जल्वों से टकरा कर नहीं मालूम होती है
नज़र भी एक मौज-ए-तह-नशीं मालूम होती है

नुक़ूश-ए-पा के सदक़े बंदगी-इश्क़ के क़ुर्बां
मुझे हर सम्त अपनी ही जबीं मालूम होती है

मिरी रग रग में यूँ तो दौड़ती है इश्क़ की बिजली
कहीं ज़ाहिर नहीं होती कहीं मालूम होती है

ये ए'जाज़-ए-नज़र कब है ये कब है हुस्न की काविश
हसीं जो चीज़ होती है हसीं मालूम होती है

उमीदें तोड़ दे मेरे दिल-ए-मुज़्तर ख़ुदा-हाफ़िज़
ज़बान-ए-हुस्न पर अब तक नहीं मालूम होती है

उसे क्यूँ मय-कदा कहता है बतला दे मिरे साक़ी
यहाँ की सर-ज़मीं ख़ुल्द-ए-बरीं मालूम होती है

अरे ऐ चारा-गर हाँ हाँ ख़लिश तू जिस को कहता है
ये शय दिल में नहीं दिल के क़रीं मालूम होती है

किसी के पा-ए-नाज़ुक पर झुकी है और नहीं उठती
मुझे 'बहज़ाद' ये अपनी जबीं मालूम होती है

- Behzad Lakhnavi
0 Likes

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Behzad Lakhnavi

As you were reading Shayari by Behzad Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Behzad Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari