fana nahin hai mohabbat ke rang-o-boo ke liye
bahaar-e-aalam-e-faani rahe rahe na rahe
junoon-e-hubb-e-watan ka maza shabaab mein hai
lahu mein phir ye rawaani rahe rahe na rahe
rahegi aab-o-hawa mein khayal ki bijli
ye musht-e-khaak hai faani rahe rahe na rahe
jo dil mein zakham lage hain vo khud pukaarenge
zabaan ki saif-bayaani rahe rahe na rahe
dilon mein aag lage ye wafa ka jauhar hai
ye jam'a kharch-e-zabaani rahe rahe na rahe
jo maangna hai abhi maang lo watan ke liye
ye aarzoo ki jawaani rahe rahe na rahe
फ़ना नहीं है मोहब्बत के रंग-ओ-बू के लिए
बहार-ए-आलम-ए-फ़ानी रहे रहे न रहे
जुनून-ए-हुब्ब-ए-वतन का मज़ा शबाब में है
लहू में फिर ये रवानी रहे रहे न रहे
रहेगी आब-ओ-हवा में ख़याल की बिजली
ये मुश्त-ए-ख़ाक है फ़ानी रहे रहे न रहे
जो दिल में ज़ख़्म लगे हैं वो ख़ुद पुकारेंगे
ज़बाँ की सैफ़-बयानी रहे रहे न रहे
दिलों में आग लगे ये वफ़ा का जौहर है
ये जम्अ' ख़र्च-ए-ज़बानी रहे रहे न रहे
जो माँगना है अभी माँग लो वतन के लिए
ये आरज़ू की जवानी रहे रहे न रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chakbast Brij Narayan
our suggestion based on Chakbast Brij Narayan
As you were reading Dua Shayari Shayari