ek saal
o mere dil ke tukde
meri bahna meri beti mere bacche
aaj ek saal ho gaya
tumhein baashinda ae adam-aabaad hue
meri choti-si duniya ko barbaad hue
jaise ye khushboo dhoop abr-o-baad hue
tumhe azaad hue mujhe shab-zaad hue
tumse koii vivaad hue mujhe na-muraad hue
is dil ko naa shaad hue
tumhein mahaj ek yaad hue
meri beti
aaj ek saal ho gaya
muqaddar ko bigde hue mujhe tumse bichhde hue
is ghar ko ujde hue is dil ke tukde hue
baitha rehta hoon main teri tasveer ko pakde hue
baithi hai teri yaad dil mein dil ko jakde hue
tere mere jhagde hue aur mujhe tujhpe akade hue
abhaage baap ke mukhde se
ek aankh ko likde hue
abhaage bhai ke kaandhe se
ek baazu ko ukhde hue
meri beti
aaj ek saal ho gaya
khushiyon ko ghar chhode hue
khuda ko muqaddar phode hue
ghar kii taraf sailaab ko morde hue
meri neend ko cheene khwaab ko tode hue
doctor ke paaro mein laute hue haathon ko jode hue
tujhko ye duniya chhode hue
mujhe duniya se sab naate tode hue
meri beti
aaj ek saal ho gaya
ghar mein udaasi ko chhaaye hue
in honton par hansi ko aaye hue
pitaaji ko qisse sunaaye hue
bagiya mein phoolon ko aaye hue
aangan mein sannaata chhaaye hue
peeth par tera chaata khaaye hue
mujhko gaana gaaye hue
jee se koii khaana khaaye hue
dil ko patthar kare hue
yaad mein teri aansu bahaaye hue
meri beti
aaj ek saal ho gaya
mujhe kuchh likhe hue tujhe kahin dikhe hue
mujhe chain se soye hue teri yaad mein khoye hue
teri awaaz sune hue tere saath taaron ko gine hue
tujhe mujhse cheene hue aaj baarah maheene hue
khush rang khwaabon ko kisi nazar kii aag mein jale hue
hamaare aashiyaan ke suraj ko dhale hue
jinmein mismar ho gai jhopdi apni
un aandhiyon ko chale hue
in aankhon aur rukhsaaron ko gile hue
mujhe tuujhse mile hue
meri beti
aaj ek saal ho gaya
bharne the jo zakhm jigar ke
waqt ke saath sirf gehre hue hain
ham samandar mein doobi us kashti kii raah mein
aaj bhi kinaare par thehre hue hain
har kisi ne shuroo mein kaha tha
hame bhi dard bas shuroo mein raha tha
abhi yaqeen nahin hoga dil bhi ghamgeen nahin hoga
ek waqt par ja chuka hai dil maan jaata hai
ek waqt ke baad har dard dava ban jaata hai
magar na jaane kyun
ye dard to badhta jaata hai
mujhe sukoon nahin mil paata hai
kaisi zulmat badhti jaati hai
meri himmat tootti jaati hai
jab laut ke tum nahin aati ho
ye diwali kyun aa jaati hai
mujhko ye maaloom bhi hai
laut ke nahin kabhi aate hain
ab tum jis jahaan mein rahti ho
par tum kab jahaan mein rahti ho
tum to aab o hawa mein bahti ho
ye tera bhaiyya tere papa teri maiya
ye chanda taare jugnoo deepak phool o kaliyaan
ye sooni galiyaan aur ham sab
tujhko khojte rahte hain
ham sab tujhko sochte rahte hain
sabse kahte rahte hain
yahin hai vo kahin nahin gai hai
vo mere dil mein rahti hai
vo mujhse milti rahti hai
khwaabon mein
veeraan dil ke ujde gulshan mein
mere tan mein mere man mein is chaman mein
holi ke rangon mein pichkaari mein gubbaaron mein
diwali kii phuljhadiyon mein chakri mein anaaron mein
rangoli ke rangon mein diye mein ladion mein
khidki par baithi gilhari mein chidiyon mein
nau raaton kii nau deviyon mein jimti hai
pehle aarti karti thi ab karaati hai
mujhko behad rulaati hai
mujhe bhaiyya kah ke bulaati hai
chhat kii kaddi mein deewaar kii ghadi mein
har pal tak-tak karti hai
mere bheetar mere dil ke aangan mein khel khelti
vo har pal bak-bak karti hai
thandi raat ke ghor sannaate mein vo meri ghazlen gaati hai
aaj khuld mein kya-kya hua raat ko aake bataati hai
main gale lagaane ko uthta hoon
aankh khulti hai gum ho jaati hai
aisa hote hue
mujhko rote hue
ek saal ho gaya
एक साल
ओ मेरे दिल के टुकड़े
मेरी बहना मेरी बेटी मेरे बच्चे
आज एक साल हो गया
तुम्हें बाशिंदा ए अदम-आबाद हुए
मेरी छोटी-सी दुनिया को बर्बाद हुए
जैसे ये ख़ुशबू धूप अब्र-ओ-बाद हुए
तुम्हे आज़ाद हुए मुझे शब-ज़ाद हुए
तुमसे कोई विवाद हुए मुझे ना-मुराद हुए
इस दिल को ना शाद हुए
तुम्हें महज़ एक याद हुए
मेरी बेटी
आज एक साल हो गया
मुक़द्दर को बिगड़े हुए मुझे तुमसे बिछड़े हुए
इस घर को उजड़े हुए इस दिल के टुकड़े हुए
बैठा रहता हूँ मैं तेरी तस्वीर को पकड़े हुए
बैठी है तेरी याद दिल में दिल को जकड़े हुए
तेरे मेरे झगड़े हुए और मुझे तुझपे अकड़े हुए
अभागे बाप के मुखड़े से
एक आँख को लिकड़े हुए
अभागे भाई के कांधे से
एक बाज़ू को उखड़े हुए
मेरी बेटी
आज एक साल हो गया
ख़ुशियों को घर छोड़े हुए
ख़ुदा को मुक़द्दर फोड़े हुए
घर की तरफ़ सैलाब को मोड़े हुए
मेरी नींद को छीने ख़्वाब को तोड़े हुए
डाॅक्टर के पैरो में लौटे हुए हाथों को जोड़े हुए
तुझको ये दुनिया छोड़े हुए
मुझे दुनिया से सब नाते तोड़े हुए
मेरी बेटी
आज एक साल हो गया
घर में उदासी को छाए हुए
इन होंटों पर हॅंसी को आए हुए
पिताजी को क़िस्से सुनाए हुए
बगिया में फूलों को आए हुए
ऑंगन में सन्नाटा छाए हुए
पीठ पर तेरा चाटा खाए हुए
मुझको गाना गाए हुए
जी से कोई खाना खाए हुए
दिल को पत्थर करे हुए
याद में तेरी आँसू बहाए हुए
मेरी बेटी
आज एक साल हो गया
मुझे कुछ लिखे हुए तुझे कहीं दिखे हुए
मुझे चैन से सोए हुए तेरी याद में खोए हुए
तेरी आवाज़ सुने हुए तेरे साथ तारों को गिने हुए
तुझे मुझसे छीने हुए आज बारह महीने हुए
ख़ुश रंग ख़्वाबों को किसी नज़र की आग में जले हुए
हमारे आशियाँ के सूरज को ढले हुए
जिनमें मिस्मार हो गई झोपड़ी अपनी
उन ऑंधियों को चले हुए
इन आँखों और रुख़सारों को गिले हुए
मुझे तूझसे मिले हुए
मेरी बेटी
आज एक साल हो गया
भरने थे जो ज़ख़्म जिगर के
वक़्त के साथ सिर्फ़ गहरे हुए हैं
हम समंदर में डूबी उस कश्ती की राह में
आज भी किनारे पर ठहरे हुए हैं
हर किसी ने शुरू में कहा था
“हमे भी दर्द बस शुरू में रहा था”
अभी यक़ीन नहीं होगा दिल भी ग़मगीन नहीं होगा
एक वक़्त पर जा चुका है दिल मान जाता है
एक वक़्त के बाद हर दर्द दवा बन जाता है
मगर न जाने क्यों
ये दर्द तो बढ़ता जाता है
मुझे सुकून नहीं मिल पाता है
कैसी ज़ुल्मत बढ़ती जाती है
मेरी हिम्मत टूटती जाती है
जब लौट के तुम नहीं आती हो
ये दीवाली क्यों आ जाती है
मुझको ये मालूम भी है
लौट के नहीं कभी आते हैं
अब तुम जिस जहाँ में रहती हो
पर तुम कब जहाँ में रहती हो
तुम तो आब ओ हवा में बहती हो
ये तेरा भैया तेरे पापा तेरी मैया
ये चंदा तारे जुगनू दीपक फूल ओ कलियाँ
ये सूनी गलियाँ और हम सब
तुझको खोजते रहते हैं
हम सब तुझको सोचते रहते हैं
सबसे कहते रहते हैं
यहीं है वो कहीं नहीं गई है
वो मेरे दिल में रहती है
वो मुझसे मिलती रहती है
ख़्वाबों में
वीरान दिल के उजड़े गुलशन में
मेरे तन में मेरे मन में इस चमन में
होली के रंगों में पिचकारी में गुब्बारों में
दिवाली की फुलझड़ियो में चकरी में अनारों में
रंगोली के रंगों में दिए में लड़ियों में
खिड़की पर बैठी गिलहरी में चिड़ियों में
नौ रातों की नौ देवियों में जिमती है
पहले आरती करती थी अब कराती है
मुझको बेहद रुलाती है
मुझे भैया कह के बुलाती है
छत की कड़ी में दीवार की घड़ी में
हर पल टक-टक करती है
मेरे भीतर मेरे दिल के ऑंगन में खेल खेलती
वो हर पल बक-बक करती है
ठंडी रात के घोर सन्नाटे में वो मेरी ग़ज़लें गाती है
आज खुल्द में क्या-क्या हुआ रात को आके बताती है
मैं गले लगाने को उठता हूँ
आँख खुलती है गुम हो जाती है
ऐसा होते हुए
मुझको रोते हुए
एक साल हो गया
As you were reading Shayari by Chhayank Tyagi
our suggestion based on Chhayank Tyagi
As you were reading undefined Shayari