bhaven tanati hain khanjar haath mein hai tan ke baithe hain | भवें तनती हैं ख़ंजर हाथ में है तन के बैठे हैं

  - Dagh Dehlvi

bhaven tanati hain khanjar haath mein hai tan ke baithe hain
kisi se aaj bigdi hai ki vo yun ban ke baithe hain

dilon par saikron sikke tire joban ke baithe hain
kalejon par hazaaron teer is chitwan ke baithe hain

ilaahi kyun nahin uthati qayamat maajra kya hai
hamaare saamne pahluu mein vo dushman ke baithe hain

ye gustaakhi ye chhed achhi nahin hai ai dil-e-naadaan
abhi phir rooth jaayenge abhi to man ke baithe hain

asar hai jazb-e-ulfat mein to khinch kar aa hi jaayenge
hamein parwa nahin ham se agar vo tan ke baithe hain

subuk ho jaayenge gar jaayenge vo bazm-e-dushman mein
ki jab tak ghar mein baithe hain vo laakhon man ke baithe hain

fusoon hai ya dua hai ya mu'ammaa khul nahin saka
vo kuchh padhte hue aage mere madfan ke baithe hain

bahut roya hoon main jab se ye main ne khwaab dekha hai
ki aap aansu behaate saamne dushman ke baithe hain

khade hon zer-e-tooba vo na dam lene ko dam bhar bhi
jo hasrat-mand tere saaya-e-daaman ke baithe hain

talaash-e-manzil-e-maqsad ki gardish uth nahin sakti
kamar khole hue raaste mein ham rehzan ke baithe hain

ye josh-e-giryaa to dekho ki jab furqat mein roya hoon
dar o deewaar ik pal mein mere madfan ke baithe hain

nigaah-e-shokh o chashm-e-shauq mein dar-parda chhanti hai
ki vo chilman mein hain nazdeek ham chilman ke baithe hain

ye uthna baithna mehfil mein un ka rang laayega
qayamat ban ke uthhenge bhobooka ban ke baithe hain

kisi ki shaamat aayegi kisi ki jaan jaayegi
kisi ki taak mein vo baam par ban-than ke baithe hain

qasam de kar unhen ye pooch lo tum rang-dhang us ke
tumhaari bazm mein kuchh dost bhi dushman ke baithe hain

koi chheenta pade to daagh kolkata chale jaayen
azeemaabad mein ham muntazir saawan ke baithe hain

भवें तनती हैं ख़ंजर हाथ में है तन के बैठे हैं
किसी से आज बिगड़ी है कि वो यूँ बन के बैठे हैं

दिलों पर सैकड़ों सिक्के तिरे जोबन के बैठे हैं
कलेजों पर हज़ारों तीर इस चितवन के बैठे हैं

इलाही क्यूँ नहीं उठती क़यामत माजरा क्या है
हमारे सामने पहलू में वो दुश्मन के बैठे हैं

ये गुस्ताख़ी ये छेड़ अच्छी नहीं है ऐ दिल-ए-नादाँ
अभी फिर रूठ जाएँगे अभी तो मन के बैठे हैं

असर है जज़्ब-ए-उल्फ़त में तो खिंच कर आ ही जाएँगे
हमें पर्वा नहीं हम से अगर वो तन के बैठे हैं

सुबुक हो जाएँगे गर जाएँगे वो बज़्म-ए-दुश्मन में
कि जब तक घर में बैठे हैं वो लाखों मन के बैठे हैं

फ़ुसूँ है या दुआ है या मुअ'म्मा खुल नहीं सकता
वो कुछ पढ़ते हुए आगे मिरे मदफ़न के बैठे हैं

बहुत रोया हूँ मैं जब से ये मैं ने ख़्वाब देखा है
कि आप आँसू बहाते सामने दुश्मन के बैठे हैं

खड़े हों ज़ेर-ए-तूबा वो न दम लेने को दम भर भी
जो हसरत-मंद तेरे साया-ए-दामन के बैठे हैं

तलाश-ए-मंज़िल-ए-मक़्सद की गर्दिश उठ नहीं सकती
कमर खोले हुए रस्ते में हम रहज़न के बैठे हैं

ये जोश-ए-गिर्या तो देखो कि जब फ़ुर्क़त में रोया हूँ
दर ओ दीवार इक पल में मिरे मदफ़न के बैठे हैं

निगाह-ए-शोख़ ओ चश्म-ए-शौक़ में दर-पर्दा छनती है
कि वो चिलमन में हैं नज़दीक हम चिलमन के बैठे हैं

ये उठना बैठना महफ़िल में उन का रंग लाएगा
क़यामत बन के उट्ठेंगे भबूका बन के बैठे हैं

किसी की शामत आएगी किसी की जान जाएगी
किसी की ताक में वो बाम पर बन-ठन के बैठे हैं

क़सम दे कर उन्हें ये पूछ लो तुम रंग-ढंग उस के
तुम्हारी बज़्म में कुछ दोस्त भी दुश्मन के बैठे हैं

कोई छींटा पड़े तो 'दाग़' कलकत्ते चले जाएँ
अज़ीमाबाद में हम मुंतज़िर सावन के बैठे हैं

  - Dagh Dehlvi

Revenge Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Revenge Shayari Shayari