dil-e-naakaam ke hain kaam kharab | दिल-ए-नाकाम के हैं काम ख़राब

  - Dagh Dehlvi

dil-e-naakaam ke hain kaam kharab
kar liya aashiqi mein naam kharab

is kharaabaat ka yahi hai maza
ki rahe aadmi mudaam kharab

dekh kar jins-e-dil vo kahte hain
kyun kare koi apne daam kharab

abr-e-tar se saba hi achhi thi
meri mitti hui tamaam kharab

vo bhi saaqi mujhe nahin deta
vo jo toota pada hai jaam kharab

kya mila ham ko zindagi ke siva
vo bhi dushwaar na-tamaam kharab

waah kya munh se phool jhadte hain
khoob-roo ho ke ye kalaam kharab

chaal ki rehnuma-e-ishq ne bhi
vo dikhaaya jo tha maqaam kharab

daagh hai bad-chalan to hone do
sau mein hota hai ik ghulaam kharab

दिल-ए-नाकाम के हैं काम ख़राब
कर लिया आशिक़ी में नाम ख़राब

इस ख़राबात का यही है मज़ा
कि रहे आदमी मुदाम ख़राब

देख कर जिंस-ए-दिल वो कहते हैं
क्यूँ करे कोई अपने दाम ख़राब

अब्र-ए-तर से सबा ही अच्छी थी
मेरी मिट्टी हुई तमाम ख़राब

वो भी साक़ी मुझे नहीं देता
वो जो टूटा पड़ा है जाम ख़राब

क्या मिला हम को ज़िंदगी के सिवा
वो भी दुश्वार ना-तमाम ख़राब

वाह क्या मुँह से फूल झड़ते हैं
ख़ूब-रू हो के ये कलाम ख़राब

चाल की रहनुमा-ए-इश्क़ ने भी
वो दिखाया जो था मक़ाम ख़राब

'दाग़' है बद-चलन तो होने दो
सौ में होता है इक ग़ुलाम ख़राब

  - Dagh Dehlvi

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari