kahte hain jis ko hoor vo insaan tumheen to ho
jaati hai jis pe jaan meri jaan tumheen to ho
matlab ki kah rahe hain vo daana humeen to hain
matlab ki poochte ho vo naadaan tumheen to ho
aata hai baad-e-zulm tumheen ko to rehm bhi
apne kiye se dil mein pashemaan tumheen to ho
pachtayoge bahut mere dil ko ujaad kar
is ghar mein aur kaun hai mehmaan tumheen to ho
ik roz rang laayeingi ye mehrabaaniyaan
ham jaante the jaan ke khwaahan tumheen to ho
dildaar o dil-fareb dil-aazaar o dil-sitaan
laakhon mein ham kaheinge ki haan haan tumheen to ho
karte ho daagh door se but-khaane ko salaam
apni tarah ke ek musalmaan tumheen to ho
कहते हैं जिस को हूर वो इंसाँ तुम्हीं तो हो
जाती है जिस पे जान मिरी जाँ तुम्हीं तो हो
मतलब की कह रहे हैं वो दाना हमीं तो हैं
मतलब की पूछते हो वो नादाँ तुम्हीं तो हो
आता है बाद-ए-ज़ुल्म तुम्हीं को तो रहम भी
अपने किए से दिल में पशेमाँ तुम्हीं तो हो
पछताओगे बहुत मिरे दिल को उजाड़ कर
इस घर में और कौन है मेहमाँ तुम्हीं तो हो
इक रोज़ रंग लाएँगी ये मेहरबानियाँ
हम जानते थे जान के ख़्वाहाँ तुम्हीं तो हो
दिलदार ओ दिल-फ़रेब दिल-आज़ार ओ दिल-सिताँ
लाखों में हम कहेंगे कि हाँ हाँ तुम्हीं तो हो
करते हो 'दाग़' दूर से बुत-ख़ाने को सलाम
अपनी तरह के एक मुसलमाँ तुम्हीं तो हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi
our suggestion based on Dagh Dehlvi
As you were reading Aadmi Shayari Shayari