sitam hi karna jafaa hi karna nigaah-e-ulft kabhi na karna | सितम ही करना जफ़ा ही करना निगाह-ए-उल्फ़त कभी न करना - Dagh Dehlvi

sitam hi karna jafaa hi karna nigaah-e-ulft kabhi na karna
tumhein qasam hai hamaare sar ki hamaare haq mein kami na karna

hamaari mayyat pe tum jo aana to chaar aansu baha ke jaana
zara rahe paas-e-aabroo bhi kahi hamaari hasi na karna

kahaan ka aana kahaan ka jaana vo jaante hi nahin ye rasmen
wahan hai vaade ki bhi ye soorat kabhi to karna kabhi na karna

liye to chalte hain hazrat-e-dil tumhein bhi us anjuman mein lekin
hamaare pahluu mein baith kar tum humeen se pahlu-tahi na karna

nahin hai kuchh qatl un ka aasaan ye sakht-jaan hain bure bala ke
qaza ko pehle shareek karna ye kaam apni khushi na karna

halaak andaaz-e-wasl karna ki parda rah jaaye kuchh hamaara
gham-e-judai mein khaak kar ke kahi adoo ki khushi na karna

meri to hai baat zahar un ko vo un ke matlab hi ki na kyun ho
ki un se jo iltijaa se kehna gazab hai un ko wahi na karna

hua agar shauq aaine se to rukh rahe raasti ki jaanib
misaal-e-aariz safaai rakhna ba-rang-e-kaakul kajee na karna

vo hi hamaara tareeq-e-ulfat ki dushmanon se bhi mil ke chalna
ye ek sheva tira sitamgar ki dost se dosti na karna

ham ek rasta gali ka us ki dikha ke dil ko hue pashemaan
ye hazrat-e-khizr ko jata do kisi ki tum rahbari na karna

bayaan-e-dard-e-firaq kaisa ki hai wahan apni ye haqeeqat
jo baat karne to naala karna nahin to vo bhi kabhi na karna

madaar hai naaseho tumheen par tamaam ab us ki munsifi ka
zara to kehna khuda-lagi bhi faqat sukhan-parvari na karna

buri hai ai daagh raah-e-ulfat khuda na le jaaye aise raaste
jo apni tum khair chahte ho to bhool kar dil-lagi na karna

सितम ही करना जफ़ा ही करना निगाह-ए-उल्फ़त कभी न करना
तुम्हें क़सम है हमारे सर की हमारे हक़ में कमी न करना

हमारी मय्यत पे तुम जो आना तो चार आँसू बहा के जाना
ज़रा रहे पास-ए-आबरू भी कहीं हमारी हँसी न करना

कहाँ का आना कहाँ का जाना वो जानते ही नहीं ये रस्में
वहाँ है वादे की भी ये सूरत कभी तो करना कभी न करना

लिए तो चलते हैं हज़रत-ए-दिल तुम्हें भी उस अंजुमन में लेकिन
हमारे पहलू में बैठ कर तुम हमीं से पहलू-तही न करना

नहीं है कुछ क़त्ल उन का आसाँ ये सख़्त-जाँ हैं बुरे बला के
क़ज़ा को पहले शरीक करना ये काम अपनी ख़ुशी न करना

हलाक अंदाज़-ए-वस्ल करना कि पर्दा रह जाए कुछ हमारा
ग़म-ए-जुदाई में ख़ाक कर के कहीं अदू की ख़ुशी न करना

मिरी तो है बात ज़हर उन को वो उन के मतलब ही की न क्यूँ हो
कि उन से जो इल्तिजा से कहना ग़ज़ब है उन को वही न करना

हुआ अगर शौक़ आइने से तो रुख़ रहे रास्ती की जानिब
मिसाल-ए-आरिज़ सफ़ाई रखना ब-रंग-ए-काकुल कजी न करना

वो ही हमारा तरीक़-ए-उल्फ़त कि दुश्मनों से भी मिल के चलना
ये एक शेवा तिरा सितमगर कि दोस्त से दोस्ती न करना

हम एक रस्ता गली का उस की दिखा के दिल को हुए पशेमाँ
ये हज़रत-ए-ख़िज़्र को जता दो किसी की तुम रहबरी न करना

बयान-ए-दर्द-ए-फ़िराक़ कैसा कि है वहाँ अपनी ये हक़ीक़त
जो बात करनी तो नाला करना नहीं तो वो भी कभी न करना

मदार है नासेहो तुम्हीं पर तमाम अब उस की मुंसिफ़ी का
ज़रा तो कहना ख़ुदा-लगी भी फ़क़त सुख़न-परवरी न करना

बुरी है ऐ 'दाग़' राह-ए-उल्फ़त ख़ुदा न ले जाए ऐसे रस्ते
जो अपनी तुम ख़ैर चाहते हो तो भूल कर दिल-लगी न करना

- Dagh Dehlvi
3 Likes

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari