bas isi baat se lagne laga hai dar mujhko | बस इसी बात से लगने लगा है डर मुझको - Divakar divyank

bas isi baat se lagne laga hai dar mujhko
kaun chahega bhala aapse badhkar mujhko

ho gaya hai tera aaghosh mayassar mujhko
ab kisi taur nahin bhaata hai bistar mujhko

varna muddat se main deewaar kii maanind hi tha
vo to teri sada ne kar diya hai dar mujhko

yaad aate hain tere saath guzaare lamhe
yaad aate hain bahut khushnuma manzar mujhko

usko maaloom nahin asl mein khushboo ka pata
dhoondhta hai jo mere jism mein akshar mujhko

vasl kii raat bhi yaad aate rahe hijr ke din
yaani yaad aata raha khuld mein mahshar mujhko

बस इसी बात से लगने लगा है डर मुझको
कौन चाहेगा भला आपसे बढ़कर मुझको

हो गया है तेरा आग़ोश मयस्सर मुझको
अब किसी तौर नहीं भाता है बिस्तर मुझको

वरना मुद्दत से मैं दीवार की मानिंद ही था
वो तो तेरी सदा ने कर दिया है दर मुझको

याद आते हैं तेरे साथ गुज़ारे लम्हे
याद आते हैं बहुत ख़ुशनुमा मंज़र मुझको

उसको मालूम नहीं अस्ल में ख़ुशबू का पता
ढूँढता है जो मेरे जिस्म में अक्सर मुझको

वस्ल की रात भी याद आते रहे हिज्र के दिन
यानी याद आता रहा ख़ुल्द में महशर मुझको

- Divakar divyank
0 Likes

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Divakar divyank

As you were reading Shayari by Divakar divyank

Similar Writers

our suggestion based on Divakar divyank

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari