kal raat khwahishon ka vyaapaar ho gaya tha
is paar tha jo hamdam us paar ho gaya tha
pehle pehal mein uski nazaron mein ik chubhan thi
jab baar baar dekha to pyaar ho gaya tha
jab tak padha gaya main tab tak vujood mera
sabke liye main kal ka akhbaar ho gaya tha
uski wafa mein pal pal tha qatl ka iraada
us baar bach gaya main is baar ho gaya tha
mat pooch kis jatan se kaise vo shab dhali jab
maah-e-tamaam unka deedaar ho gaya tha
ab saltanat mein khooni taqraar hi dava hai
uske bina ye haakim beemaar ho gaya tha
dekho uday ne jalakar basti ujaad daali
bujhta charaagh kitna laachaar ho gaya tha
कल रात ख़्वाहिशों का व्यापार हो गया था
इस पार था जो हमदम उस पार हो गया था
पहले पहल में उसकी नज़रों में इक चुभन थी
जब बार बार देखा तो प्यार हो गया था
जब तक पढ़ा गया मैं तब तक वजूद मेरा
सबके लिए मैं कल का अख़बार हो गया था
उसकी वफ़ा में पल पल था क़त्ल का इरादा
उस बार बच गया मैं इस बार हो गया था
मत पूछ किस जतन से कैसे वो शब ढली जब
माह-ए-तमाम उनका दीदार हो गया था
अब सल्तनत में खूनी तक़रार ही दवा है
उसके बिना ये हाक़िम बीमार हो गया था
देखो 'उदय' ने जलकर बस्ती उजाड़ डाली
बुझता चराग़ कितना लाचार हो गया था
As you were reading Shayari by Uday Divakar
our suggestion based on Uday Divakar
As you were reading undefined Shayari