zamaane ko rulaate phir rahe hain | ज़माने को रुलाते फिर रहे हैं

  - Divy Kamaldhwaj

zamaane ko rulaate phir rahe hain
sukhanvar gham uthaate phir rahe hain

ye shaair leke sab aasaan baatein
unhen mushkil banaate phir rahe hain

jo kahte hain khuda hai aakhiri sach
hamein jannat dikhaate phir rahe hain

nahin lagta kahi bhi dil hamaara
sabhi ko aazmaate phir rahe hain

gham aaya shakl lekar aaj teri
so gham mein muskuraate phir rahe hain

jo auron ko sahaara de rahe the
vo ab khud ladkhadate phir rahe hain

koi to baat suraj mein bhi hogi
jo grah chakkar lagaate phir rahe hain

muhabbat jaun jaisi ho gai hai
yaqeen sabko dilaate phir rahe hain

ज़माने को रुलाते फिर रहे हैं
सुख़नवर ग़म उठाते फिर रहे हैं

ये शाइर लेके सब आसान बातें
उन्हें मुश्क़िल बनाते फिर रहे हैं

जो कहते हैं ख़ुदा है आख़िरी सच
हमें जन्नत दिखाते फिर रहे हैं

नहीं लगता कहीं भी दिल हमारा
सभी को आज़माते फिर रहे हैं

ग़म आया शक़्ल लेकर आज तेरी
सो ग़म में मुस्कुराते फिर रहे हैं

जो औरों को सहारा दे रहे थे
वो अब ख़ुद लड़खड़ाते फिर रहे हैं

कोई तो बात सूरज में भी होगी
जो ग्रह चक्कर लगाते फिर रहे हैं

मुहब्बत 'जौन' जैसी हो गई है
यक़ीं सबको दिलाते फिर रहे हैं

  - Divy Kamaldhwaj

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Divy Kamaldhwaj

As you were reading Shayari by Divy Kamaldhwaj

Similar Writers

our suggestion based on Divy Kamaldhwaj

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari