bulaana aur na jaana chahta hoon | बुलाना और न जाना चाहता हूँ - Dr. Azam

bulaana aur na jaana chahta hoon
maraasim bhi nibhaana chahta hoon

tiri qurbat se kuch lamhe chura kar
main apne paas aana chahta hoon

kahaan ye tay nahin kar paaya lekin
kahi main bhag jaana chahta hoon

kisi din gardish-e-ayyaam ko bhi
main ungli par nachaana chahta hoon

zaroorat to nahin tu hai zaroori
tujhe apna banaana chahta hoon

bahut sehra-navardi ho chuki ab
thikaane ka thikaana chahta hoon

asar karti nahin hai narm-goi
main ab naare lagana chahta hoon

बुलाना और न जाना चाहता हूँ
मरासिम भी निभाना चाहता हूँ

तिरी क़ुर्बत से कुछ लम्हे चुरा कर
मैं अपने पास आना चाहता हूँ

कहाँ ये तय नहीं कर पाया लेकिन
कहीं मैं भाग जाना चाहता हूँ

किसी दिन गर्दिश-ए-अय्याम को भी
मैं उँगली पर नचाना चाहता हूँ

ज़रूरत तो नहीं तू है ज़रूरी
तुझे अपना बनाना चाहता हूँ

बहुत सहरा-नवर्दी हो चुकी अब
ठिकाने का ठिकाना चाहता हूँ

असर करती नहीं है नर्म-गोई
मैं अब नारे लगाना चाहता हूँ

- Dr. Azam
0 Likes

More by Dr. Azam

As you were reading Shayari by Dr. Azam

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Azam

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari