meri mitti mein jab na tha patthar | मेरी मिट्टी में जब न था पत्थर - Dr. Azam

meri mitti mein jab na tha patthar
kaise kah doon ki hai khuda patthar

sho'la-e-ishq ka asar tauba
mom jaisa pighal gaya patthar

jab bhi bazm-e-khird mein aaya main
aql par meri pad gaya patthar

gul bichaau main tere qadmon mein
meri raahon mein tu bichha patthar

raah-e-haq mein yaqeen tha hum par
sirf barseinge eent ya patthar

lad gaya jab shajar falon se koi
us pe sab ne utha diya patthar

log todengi baar baar use
sheesha-e-dil ko tu bana patthar

narm rassi se ghis na jaaye jo
mujh ko aisa nahin mila patthar

doston ke hadf pe hai aazam
ab vo barsaayein phool ya patthar

मेरी मिट्टी में जब न था पत्थर
कैसे कह दूँ कि है ख़ुदा पत्थर

शो'ला-ए-इश्क़ का असर तौबा
मोम जैसा पिघल गया पत्थर

जब भी बज़्म-ए-ख़िरद में आया मैं
अक़्ल पर मेरी पड़ गया पत्थर

गुल बिछाऊँ मैं तेरे क़दमों में
मेरी राहों में तू बिछा पत्थर

राह-ए-हक़ में यक़ीन था हम पर
सिर्फ़ बरसेंगे ईंट या पत्थर

लद गया जब शजर फलों से कोई
उस पे सब ने उठा दिया पत्थर

लोग तोड़ेंगे बार बार उसे
शीशा-ए-दिल को तू बना पत्थर

नर्म रस्सी से घिस न जाए जो
मुझ को ऐसा नहीं मिला पत्थर

दोस्तों के हदफ़ पे है 'आज़म'
अब वो बरसाएँ फूल या पत्थर

- Dr. Azam
0 Likes

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Azam

As you were reading Shayari by Dr. Azam

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Azam

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari