kise khayal tha aisi bhi saa'atein hongi | किसे ख़याल था ऐसी भी साअ'तें होंगी - Ejaz Gul

kise khayal tha aisi bhi saa'atein hongi
ki mere naam se bhi tujh ko vahshatein hongi

sazaa-e-marg ki soorat visaal guzra tha
bichhad gaye hain to kya kya qayaamaatein hongi

judaaiyon mein zamaane ne kya sulook kiya
kabhi dobara mile to hikaayaten hongi

khusa ki apni wafa faaslon ki nazr hui
hamaare ba'ad zameen par rifaqatein hongi

ujad gaya hoon magar hausale salaamat hain
ki ek din tujhe shaayad nadaamatein hongi

किसे ख़याल था ऐसी भी साअ'तें होंगी
कि मेरे नाम से भी तुझ को वहशतें होंगी

सज़ा-ए-मर्ग की सूरत विसाल गुज़रा था
बिछड़ गए हैं तो क्या क्या क़यामतें होंगी

जुदाइयों में ज़माने ने क्या सुलूक किया
कभी दोबारा मिले तो हिकायतें होंगी

ख़ुशा कि अपनी वफ़ा फ़ासलों की नज़्र हुई
हमारे बा'द ज़मीं पर रिफाक़तें होंगी

उजड़ गया हूँ मगर हौसले सलामत हैं
कि एक दिन तुझे शायद नदामतें होंगी

- Ejaz Gul
0 Likes

Wafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Wafa Shayari Shayari