gham bhi sadiyon se hain aur deeda-e-tar sadiyon se | ग़म भी सदियों से हैं और दीदा-ए-तर सदियों से - Faheem Jogapuri

gham bhi sadiyon se hain aur deeda-e-tar sadiyon se
khaana-barbaadon ke aabaad hain ghar sadiyon se

dar-b-dar un ka bhatkna to nayi baat nahin
chaahne waale to hain khaak-basar sadiyon se

koi mushkil na masafat hai na raaste ki thakan
asl zanjeer hai saamaan-e-safar sadiyon se

tujh se milne ke siva saari duaaein gulshan
ik yahi shaakh hai be-berg-o-samar sadiyon se

kya musaafir hain ye raaste mein bhatkne waale
jaise be-samt ghataon ka safar sadiyon se

kis ne dekhi hai zamaane mein wafa ki khushboo
ye kahaani hai kitaabon mein magar sadiyon se

har zamaane mein khushamad ne sadaarat ki hai
kaamraan hota raha hai ye hunar sadiyon se

maa-siwaa husn kahi ishq ne dekha na faheem
ek hi samt ko jaamid hai nazar sadiyon se

ग़म भी सदियों से हैं और दीदा-ए-तर सदियों से
ख़ाना-बर्बादों के आबाद हैं घर सदियों से

दर-ब-दर उन का भटकना तो नई बात नहीं
चाहने वाले तो हैं ख़ाक-बसर सदियों से

कोई मुश्किल न मसाफ़त है न रस्ते की थकन
अस्ल ज़ंजीर है सामान-ए-सफ़र सदियों से

तुझ से मिलने के सिवा सारी दुआएँ गुलशन
इक यही शाख़ है बे-बर्ग-ओ-समर सदियों से

क्या मुसाफ़िर हैं ये रस्ते में भटकने वाले
जैसे बे-सम्त घटाओं का सफ़र सदियों से

किस ने देखी है ज़माने में वफ़ा की ख़ुश्बू
ये कहानी है किताबों में मगर सदियों से

हर ज़माने में ख़ुशामद ने सदारत की है
कामराँ होता रहा है ये हुनर सदियों से

मा-सिवा हुस्न कहीं इश्क़ ने देखा न 'फहीम'
एक ही सम्त को जामिद है नज़र सदियों से

- Faheem Jogapuri
0 Likes

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faheem Jogapuri

As you were reading Shayari by Faheem Jogapuri

Similar Writers

our suggestion based on Faheem Jogapuri

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari