der ke saath haram aaye shivaale aaye | देर के साथ हरम आए शिवाले आए - Faheem Jogapuri

der ke saath haram aaye shivaale aaye
aaj chan chan ke andheron se ujaale aaye

brahman aaye hain zunnar liye haathon mein
hazrat-e-shaikh bhi dastaar sambhaale aaye

hum ne be-saakhta kaanton ke dehan choom liye
jab kabhi dasht mein phoolon ke hawaale aaye

hijr ke dard bhi aansu bhi hai tanhaai bhi
tire jaate hi mere chaahne waale aaye

us ke darbaar se hum khaak-nasheenon ke liye
pairhan sone ke chaandi ke do-shaale aaye

taaki zahmat na bane us ko aseeri apni
khud se hum paanv mein zanjeer ko dale aaye

देर के साथ हरम आए शिवाले आए
आज छन छन के अँधेरों से उजाले आए

बरहमन आए हैं ज़ुन्नार लिए हाथों में
हज़रत-ए-शैख़ भी दस्तार सँभाले आए

हम ने बे-साख़्ता काँटों के दहन चूम लिए
जब कभी दश्त में फूलों के हवाले आए

हिज्र के दर्द भी आँसू भी है तन्हाई भी
तिरे जाते ही मिरे चाहने वाले आए

उस के दरबार से हम ख़ाक-नशीनों के लिए
पैरहन सोने के चाँदी के दो-शाले आए

ताकि ज़हमत न बने उस को असीरी अपनी
ख़ुद से हम पाँव में ज़ंजीर को डाले आए

- Faheem Jogapuri
1 Like

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faheem Jogapuri

As you were reading Shayari by Faheem Jogapuri

Similar Writers

our suggestion based on Faheem Jogapuri

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari