shaam khaamosh hai pedon pe ujaala kam hai | शाम ख़ामोश है पेड़ों पे उजाला कम है

  - Faheem Jogapuri

shaam khaamosh hai pedon pe ujaala kam hai
laut aaye hain sabhi ek parinda kam hai

dekh kar sookh gaya kaise badan ka paani
main na kehta tha meri pyaas se dariya kam hai

khud se milne ki kabhi gaav mein furqat na mili
shehar aaye hain yahan milna-milaana kam hai

aaj kyun aankhon mein pehle se nahin hain aansu
aaj kya baat hai kyun mauj mein dariya kam hai

apne mehmaan ko palkon pe bitha leti hai
muflisi jaanti hai ghar main bichhauna kam hai

bas yahi soch ke karne lage hijrat aansu
apni laashon ke muqaabil yahan kaandha kam hai

dil ki har baat zabaan par nahin aati hai faheem
main ne socha hai ziyaada use likkha kam hai

शाम ख़ामोश है पेड़ों पे उजाला कम है
लौट आए हैं सभी एक परिंदा कम है

देख कर सूख गया कैसे बदन का पानी
मैं न कहता था मिरी प्यास से दरिया कम है

ख़ुद से मिलने की कभी गाँव में फ़ुर्सत न मिली
शहर आए हैं यहाँ मिलना-मिलाना कम है

आज क्यूँ आँखों में पहले से नहीं हैं आँसू
आज क्या बात है क्यूँ मौज में दरिया कम है

अपने मेहमान को पलकों पे बिठा लेती है
मुफ़्लिसी जानती है घर मैं बिछौना कम है

बस यही सोच के करने लगे हिजरत आँसू
अपनी लाशों के मुक़ाबिल यहाँ कांधा कम है

दिल की हर बात ज़बाँ पर नहीं आती है 'फहीम'
मैं ने सोचा है ज़ियादा उसे लिक्खा कम है

  - Faheem Jogapuri

Poverty Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faheem Jogapuri

As you were reading Shayari by Faheem Jogapuri

Similar Writers

our suggestion based on Faheem Jogapuri

Similar Moods

As you were reading Poverty Shayari Shayari