jis ne chhupa ke bhook ko patthar mein rakh liya | जिस ने छुपा के भूक को पत्थर में रख लिया

  - Faheem Jogapuri

jis ne chhupa ke bhook ko patthar mein rakh liya
duniya ko is faqeer ne thokar mein rakh liya

ahl-e-junoon ko apne junoon se vo ishq tha
dil ne jagah na di to use sar mein rakh liya

nanha koi parind uda jab to yun laga
himmat ne aasmaan ko shahpar mein rakh liya

aankhon ne aansuon ko ajab ehtimaam se
moti bana ke dil ke samundar mein rakh liya

ham ne tumhaari deed ke lamhe samet kar
phir se purane khwaab ki chadar mein rakh liya

kya dar samaa gaya ki hamaare hareef ne
tum jaise shehsawaar ko lashkar mein rakh liya

kuchh baat thi jo ham ne sitaaron ke darmiyaan
un aansuon ko raat ke manzar mein rakh liya

aankhen thakeen to dil ne sahaara diya faheem
ham ne kisi ka aks naye ghar mein rakh liya

जिस ने छुपा के भूक को पत्थर में रख लिया
दुनिया को इस फ़क़ीर ने ठोकर में रख लिया

अहल-ए-जुनूँ को अपने जुनूँ से वो इश्क़ था
दिल ने जगह न दी तो उसे सर में रख लिया

नन्हा कोई परिंद उड़ा जब तो यूँ लगा
हिम्मत ने आसमान को शहपर में रख लिया

आँखों ने आँसुओं को अजब एहतिमाम से
मोती बना के दिल के समुंदर में रख लिया

हम ने तुम्हारी दीद के लम्हे समेट कर
फिर से पुराने ख़्वाब की चादर में रख लिया

क्या डर समा गया कि हमारे हरीफ़ ने
तुम जैसे शहसवार को लश्कर में रख लिया

कुछ बात थी जो हम ने सितारों के दरमियाँ
उन आँसुओं को रात के मंज़र में रख लिया

आँखें थकीं तो दिल ने सहारा दिया 'फहीम'
हम ने किसी का अक्स नए घर में रख लिया

  - Faheem Jogapuri

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faheem Jogapuri

As you were reading Shayari by Faheem Jogapuri

Similar Writers

our suggestion based on Faheem Jogapuri

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari