namak ki roz maalish kar rahe hain | नमक की रोज़ मालिश कर रहे हैं

  - Fahmi Badayuni

namak ki roz maalish kar rahe hain
hamaare zakham varzish kar rahe hain

suno logon ko ye shak ho gaya hai
ki ham jeene ki saazish kar rahe hain

hamaari pyaas ko raani bana len
kai dariya ye koshish kar rahe hain

mere sehra se jo baadal uthe the
kisi dariya pe baarish kar rahe hain

ye sab paani ki khaali bottlein hain
jinhen ham nazr-e-aatish kar rahe hain

abhi chamke nahin ghalib ke joote
abhi naqqaad polish kar rahe hain

tiri tasveer pankha mez muflar
mere kamre mein gardish kar rahe hain

नमक की रोज़ मालिश कर रहे हैं
हमारे ज़ख़्म वर्ज़िश कर रहे हैं

सुनो लोगों को ये शक हो गया है
कि हम जीने की साज़िश कर रहे हैं

हमारी प्यास को रानी बना लें
कई दरिया ये कोशिश कर रहे हैं

मिरे सहरा से जो बादल उठे थे
किसी दरिया पे बारिश कर रहे हैं

ये सब पानी की ख़ाली बोतलें हैं
जिन्हें हम नज़्र-ए-आतिश कर रहे हैं

अभी चमके नहीं 'ग़ालिब' के जूते
अभी नक़्क़ाद पॉलिश कर रहे हैं

तिरी तस्वीर, पंखा, मेज़, मुफ़लर
मिरे कमरे में गर्दिश कर रहे हैं

  - Fahmi Badayuni

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fahmi Badayuni

As you were reading Shayari by Fahmi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Fahmi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari