badi suhaani si raat thi vo | बड़ी सुहानी सी रात थी वो

  - Fahmida Riaz

badi suhaani si raat thi vo
hawa mein an-jaani khoi khoi mahak rachi thi
bahaar ki khush-gawaar hiddat se raat gulnaar ho rahi thi
ruphale sapne se aasmaan par sahaab ban kar bikhar gaye the
aur aisi ik raat ek aangan mein koi ladki khadi hui thi
khamosh tanhaa
vo apni naazuk haseen sochon ke shehar mein kho ke rah gai thi
dhanak ke sab rang us ki aankhon mein bhar gaye the
vo aisi hi raat thi ki raahon mein us ki moti bikhar gaye the
hazaar achhoote kunwaare sapne
nazar mein us ki chamak rahe the
shareer si raat us ko chupke se vo kahaani suna rahi thi
ki aaj
vo apni chudiyon ki khanak se sharmaai ja rahi thi

बड़ी सुहानी सी रात थी वो
हवा में अन-जानी खोई खोई महक रची थी
बहार की ख़ुश-गवार हिद्दत से रात गुलनार हो रही थी
रुपहले सपने से आसमाँ पर सहाब बन कर बिखर गए थे
और ऐसी इक रात एक आँगन में कोई लड़की खड़ी हुई थी
ख़मोश तन्हा
वो अपनी नाज़ुक हसीन सोचों के शहर में खो के रह गई थी
धनक के सब रंग उस की आँखों में भर गए थे
वो ऐसी ही रात थी कि राहों में उस की मोती बिखर गए थे
हज़ार अछूते कुँवारे सपने
नज़र में उस की चमक रहे थे
शरीर सी रात उस को चुपके से वो कहानी सुना रही थी
कि आज
वो अपनी चूड़ियों की खनक से शरमाई जा रही थी

  - Fahmida Riaz

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fahmida Riaz

As you were reading Shayari by Fahmida Riaz

Similar Writers

our suggestion based on Fahmida Riaz

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari