chaar-soo hai badi vehshat ka samaan | चार-सू है बड़ी वहशत का समाँ

  - Fahmida Riaz

chaar-soo hai badi vehshat ka samaan
kisi aaseb ka saaya hai yahan

koi awaaz si hai marsiyaan-khwaan
shehar ka shehar bana gorestaan

ek makhluq jo basti hai yahan
jis pe insaan ka guzarta hai gumaan

khud to saakit hai misaal-e-tasveer
jumbish-e-ghair se hai raqs-kunaan

koi chehra nahin juz zer-e-naqaab
na koi jism hai juz be-dil-o-jaan

ulama hain dushman-e-fahm-o-tahqeeq
kodni shewa-e-danish-mandaan

sha'ir-e-qoum pe ban aayi hai
kizb kaise ho tasavvuf mein nihaan

lab hain masroof-e-qaseeda-goi
aur aankhon mein hai zillat uryaan

sabz khat aaqibat-o-deen ke aseer
paarsa khush-tan-o-nau-khez jawaan

ye zan-e-naghma-gar-o-ishq-shi'aar
yaas-o-hasrat se hui hai hairaan

kis se ab aarzoo-e-wasl karein
is kharaabe mein koi mard kahaan

चार-सू है बड़ी वहशत का समाँ
किसी आसेब का साया है यहाँ

कोई आवाज़ सी है मर्सियाँ-ख़्वाँ
शहर का शहर बना गोरिस्ताँ

एक मख़्लूक़ जो बस्ती है यहाँ
जिस पे इंसाँ का गुज़रता है गुमाँ

ख़ुद तो साकित है मिसाल-ए-तस्वीर
जुम्बिश-ए-ग़ैर से है रक़्स-कुनाँ

कोई चेहरा नहीं जुज़ ज़ेर-ए-नक़ाब
न कोई जिस्म है जुज़ बे-दिल-ओ-जाँ

उलमा हैं दुश्मन-ए-फ़हम-ओ-तहक़ीक़
कोदनी शेवा-ए-दानिश-मंदाँ

शाइ'र-ए-क़ौम पे बन आई है
किज़्ब कैसे हो तसव्वुफ़ में निहाँ

लब हैं मसरूफ़-ए-क़सीदा-गोई
और आँखों में है ज़िल्लत उर्यां

सब्ज़ ख़त आक़िबत-ओ-दीं के असीर
पारसा ख़ुश-तन-ओ-नौ-ख़ेज़ जवाँ

ये ज़न-ए-नग़्मा-गर-ओ-इश्क़-शिआ'र
यास-ओ-हसरत से हुई है हैराँ

किस से अब आरज़ू-ए-वस्ल करें
इस ख़राबे में कोई मर्द कहाँ

  - Fahmida Riaz

Shaheed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fahmida Riaz

As you were reading Shayari by Fahmida Riaz

Similar Writers

our suggestion based on Fahmida Riaz

Similar Moods

As you were reading Shaheed Shayari Shayari