ab ke baras dastoor-e-sitam mein kya kya baab izaad hue | अब के बरस दस्तूर-ए-सितम में क्या क्या बाब ईज़ाद हुए

  - Faiz Ahmad Faiz

ab ke baras dastoor-e-sitam mein kya kya baab izaad hue
jo qaateel the maqtool hue jo said the ab sayyaad hue

pehle bhi khizaan mein baagh ujde par yun nahin jaise ab ke baras
saare boote patta patta ravish ravish barbaad hue

pehle bhi tawaaf-e-sham-e-wafa thi rasm mohabbat waalon ki
ham tum se pehle bhi yahan mansoor hue farhaad hue

ik gul ke murjhaane par kya gulshan mein kohraam macha
ik chehra kumhala jaane se kitne dil naashaad hue

faiz na ham yusuf na koi yaqoob jo ham ko yaad kare
apni kya kanaan mein rahe ya misr mein ja aabaad hue

अब के बरस दस्तूर-ए-सितम में क्या क्या बाब ईज़ाद हुए
जो क़ातिल थे मक़्तूल हुए जो सैद थे अब सय्याद हुए

पहले भी ख़िज़ाँ में बाग़ उजड़े पर यूँ नहीं जैसे अब के बरस
सारे बूटे पत्ता पत्ता रविश रविश बर्बाद हुए

पहले भी तवाफ़-ए-शम्-ए-वफ़ा थी रस्म मोहब्बत वालों की
हम तुम से पहले भी यहाँ 'मंसूर' हुए 'फ़रहाद' हुए

इक गुल के मुरझाने पर क्या गुलशन में कोहराम मचा
इक चेहरा कुम्हला जाने से कितने दिल नाशाद हुए

'फ़ैज़' न हम 'यूसुफ़' न कोई 'याक़ूब' जो हम को याद करे
अपनी क्या कनआँ में रहे या मिस्र में जा आबाद हुए

  - Faiz Ahmad Faiz

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari