kab yaad mein tera saath nahin kab haath mein tera haath nahin | कब याद में तेरा साथ नहीं कब हात में तेरा हात नहीं

  - Faiz Ahmad Faiz

kab yaad mein tera saath nahin kab haath mein tera haath nahin
sad-shukr ki apni raaton mein ab hijr ki koi raat nahin

mushkil hain agar haalaat wahan dil bech aayein jaan de aayein
dil waalo koocha-e-jaanaan mein kya aise bhi haalaat nahin

jis dhaj se koi maqtal mein gaya vo shaan salaamat rahti hai
ye jaan to aani jaani hai is jaan ki to koi baat nahin

maidan-e-wafa darbaar nahin yaa naam-o-nasab ki pooch kahaan
aashiq to kisi ka naam nahin kuchh ishq kisi ki zaat nahin

gar baazi ishq ki baazi hai jo chaaho laga do dar kaisa
gar jeet gaye to kya kehna haare bhi to baazi maat nahin

कब याद में तेरा साथ नहीं कब हात में तेरा हात नहीं
सद-शुक्र कि अपनी रातों में अब हिज्र की कोई रात नहीं

मुश्किल हैं अगर हालात वहाँ दिल बेच आएँ जाँ दे आएँ
दिल वालो कूचा-ए-जानाँ में क्या ऐसे भी हालात नहीं

जिस धज से कोई मक़्तल में गया वो शान सलामत रहती है
ये जान तो आनी जानी है इस जाँ की तो कोई बात नहीं

मैदान-ए-वफ़ा दरबार नहीं याँ नाम-ओ-नसब की पूछ कहाँ
आशिक़ तो किसी का नाम नहीं कुछ इश्क़ किसी की ज़ात नहीं

गर बाज़ी इश्क़ की बाज़ी है जो चाहो लगा दो डर कैसा
गर जीत गए तो क्या कहना हारे भी तो बाज़ी मात नहीं

  - Faiz Ahmad Faiz

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari