har haqeeqat majaaz ho jaaye
kaafiron ki namaaz ho jaaye
dil raheen-e-niyaaz ho jaaye
bekasi kaarsaaz ho jaaye
minnat-e-chaara-saaz kaun kare
dard jab jaan-nawaaz ho jaaye
ishq dil mein rahe to rusva ho
lab pe aaye to raaz ho jaaye
lutf ka intizaar karta hoon
jor ta hadd-e-naaz ho jaaye
umr be-sood kat rahi hai faiz
kaash ifshaa-e-raaz ho jaaye
हर हक़ीक़त मजाज़ हो जाए
काफ़िरों की नमाज़ हो जाए
दिल रहीन-ए-नियाज़ हो जाए
बेकसी कारसाज़ हो जाए
मिन्नत-ए-चारा-साज़ कौन करे
दर्द जब जाँ-नवाज़ हो जाए
इश्क़ दिल में रहे तो रुस्वा हो
लब पे आए तो राज़ हो जाए
लुत्फ़ का इंतिज़ार करता हूँ
जौर ता हद्द-ए-नाज़ हो जाए
उम्र बे-सूद कट रही है 'फ़ैज़'
काश इफ़शा-ए-राज़ हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Ulfat Shayari Shayari