na ab raqeeb na naaseh na gham-gusaar koi | न अब रक़ीब न नासेह न ग़म-गुसार कोई - Faiz Ahmad Faiz

na ab raqeeb na naaseh na gham-gusaar koi
tum aashna the to theen aashnaaiyaan kya kya

juda the hum to mayassar theen qurbaten kitni
bahm hue to padi hain judaaiyaan kya kya

pahunch ke dar pe tire kitne mo'tabar thehre
agarche rah mein hui jag-hansaaiyaan kya kya

hum aise saada-dilon ki niyaaz-mandi se
buton ne ki hain jahaan mein khudaiyaan kya kya

sitam pe khush kabhi lutf-o-karam se ranjeeda
sikhaaiin tum ne humein kaj-adaaiyaan kya kya

न अब रक़ीब न नासेह न ग़म-गुसार कोई
तुम आश्ना थे तो थीं आश्नाइयाँ क्या क्या

जुदा थे हम तो मयस्सर थीं क़ुर्बतें कितनी
बहम हुए तो पड़ी हैं जुदाइयाँ क्या क्या

पहुँच के दर पे तिरे कितने मो'तबर ठहरे
अगरचे रह में हुईं जग-हँसाइयाँ क्या क्या

हम ऐसे सादा-दिलों की नियाज़-मंदी से
बुतों ने की हैं जहाँ में ख़ुदाइयाँ क्या क्या

सितम पे ख़ुश कभी लुत्फ़-ओ-करम से रंजीदा
सिखाईं तुम ने हमें कज-अदाइयाँ क्या क्या

- Faiz Ahmad Faiz
1 Like

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari