ham tohfe mein ghadiyan to de dete hain
ik dooje ko waqt nahin de paate hain
aankhen black-and-white hain to phir in mein kyun
rang-birange khwaab kahaan se aate hain
khwaabon ki mitti se bane do koozon mein
do dariya hain aur ikatthe bahte hain
chhodo jaao kaun kahaan ki shehzaadi
shehzaadi ke haath mein chaale hote hain
dard ko is se koi farq nahin padta
ham be-kaar huroof ultate rahte hain
हम तोहफ़े में घड़ियाँ तो दे देते हैं
इक दूजे को वक़्त नहीं दे पाते हैं
आँखें ब्लैक-एण्ड-वाइट हैं तो फिर इन में क्यूँ
रंग-बिरंगे ख़्वाब कहाँ से आते हैं
ख़्वाबों की मिट्टी से बने दो कूज़ों में
दो दरिया हैं और इकट्ठे बहते हैं
छोड़ो जाओ कौन कहाँ की शहज़ादी
शहज़ादी के हाथ में छाले होते हैं
दर्द को इस से कोई फ़र्क़ नहीं पड़ता
हम बे-कार हुरूफ़ उलटते रहते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fareeha Naqvi
our suggestion based on Fareeha Naqvi
As you were reading Tohfa Shayari Shayari