safar ke laakh heele hain | सफ़र के लाख हीले हैं - Farhat Abbas Shah

safar ke laakh heele hain
ye dariya to vaseele hain

kahaan se ho ke aayi hai
hawa ke haath peele hain

dasa hai hijr ne hum ko
hamaare saans neele hain

khudaaya khushk rut mein bhi
hamaare nain geelay hain

main sha'ir hoon mohabbat ka
mere dukh bhi raseele hain

abhi to jang jaari hai
magar a'saab dhīle hain

सफ़र के लाख हीले हैं
ये दरिया तो वसीले हैं

कहाँ से हो के आई है
हवा के हाथ पीले हैं

डसा है हिज्र ने हम को
हमारे साँस नीले हैं

ख़ुदाया ख़ुश्क रुत में भी
हमारे नैन गीले हैं

मैं शाइ'र हूँ मोहब्बत का
मिरे दुख भी रसीले हैं

अभी तो जंग जारी है
मगर आ'साब ढीले हैं

- Farhat Abbas Shah
6 Likes

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Farhat Abbas Shah

As you were reading Shayari by Farhat Abbas Shah

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Abbas Shah

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari