gham ka maara kabhi na ho koi | ग़म का मारा कभी न हो कोई - Farhat Abbas Shah

gham ka maara kabhi na ho koi
be-sahaara kabhi na ho koi

jab har ik shakhs ho faqat dariya
jab kinaara kabhi na ho koi

gar kabhi ho to ho faqat tashbeeh
isti'aara kabhi na ho koi

kyun bhala is tarah tabi'at ho
kyun gawara kabhi na ho koi

tu ki ik umr intizaar kare
aur ishaara kabhi na ho koi

is qadar hoon tahee khuda na kare
jab khasaara kabhi na ho koi

ग़म का मारा कभी न हो कोई
बे-सहारा कभी न हो कोई

जब हर इक शख़्स हो फ़क़त दरिया
जब किनारा कभी न हो कोई

गर कभी हो तो हो फ़क़त तश्बीह
इस्तिआ'रा कभी न हो कोई

क्यूँ भला इस तरह तबीअ'त हो
क्यूँ गवारा कभी न हो कोई

तू कि इक उम्र इंतिज़ार करे
और इशारा कभी न हो कोई

इस क़दर हूँ तही ख़ुदा न करे
जब ख़सारा कभी न हो कोई

- Farhat Abbas Shah
1 Like

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Farhat Abbas Shah

As you were reading Shayari by Farhat Abbas Shah

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Abbas Shah

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari