tumhein us se mohabbat hai to himmat kyun nahin karte | तुम्हें उस से मोहब्बत है तो हिम्मत क्यूँ नहीं करते

  - Farhat Ehsaas

tumhein us se mohabbat hai to himmat kyun nahin karte
kisi din us ke dar pe raqs-e-vahshat kyun nahin karte

ilaaj apna karate phir rahe ho jaane kis kis se
mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyun nahin karte

tumhaare dil pe apna naam likkha ham ne dekha hai
hamaari cheez phir ham ko inaayat kyun nahin karte

meri dil ki tabaahi ki shikaayat par kaha us ne
tum apne ghar ki cheezein ki hifazat kyun nahin karte

badan baitha hai kab se kaasa-e-ummeed ki soorat
so de kar vasl ki khairaat ruksat kyun nahin karte

qayamat dekhne ke shauq mein ham mar mite tum par
qayamat karne waalo ab qayamat kyun nahin karte

main apne saath jazbon ki jamaat le ke aaya hoon
jab itne muqtedi hain to imaamat kyun nahin karte

tum apne hont aaine mein dekho aur phir socho
ki ham sirf ek bose par qana'at kyun nahin karte

bahut naaraz hai vo aur use ham se shikaayat hai
ki is naarazgi ki bhi shikaayat kyun nahin karte

kabhi allah-miyaan poochhenge tab un ko bataaenge
kisi ko kyun bataayein ham ibadat kyun nahin karte

murattab kar liya hai kulliyaat-e-zakhm agar apna
to phir ehsaas-jee is ki ishaa'at kyun nahin karte

तुम्हें उस से मोहब्बत है तो हिम्मत क्यूँ नहीं करते
किसी दिन उस के दर पे रक़्स-ए-वहशत क्यूँ नहीं करते

इलाज अपना कराते फिर रहे हो जाने किस किस से
मोहब्बत कर के देखो ना मोहब्बत क्यूँ नहीं करते

तुम्हारे दिल पे अपना नाम लिक्खा हम ने देखा है
हमारी चीज़ फिर हम को इनायत क्यूँ नहीं करते

मिरी दिल की तबाही की शिकायत पर कहा उस ने
तुम अपने घर की चीज़ों की हिफ़ाज़त क्यूँ नहीं करते

बदन बैठा है कब से कासा-ए-उम्मीद की सूरत
सो दे कर वस्ल की ख़ैरात रुख़्सत क्यूँ नहीं करते

क़यामत देखने के शौक़ में हम मर मिटे तुम पर
क़यामत करने वालो अब क़यामत क्यूँ नहीं करते

मैं अपने साथ जज़्बों की जमाअत ले के आया हूँ
जब इतने मुक़तदी हैं तो इमामत क्यूँ नहीं करते

तुम अपने होंठ आईने में देखो और फिर सोचो
कि हम सिर्फ़ एक बोसे पर क़नाअ'त क्यूँ नहीं करते

बहुत नाराज़ है वो और उसे हम से शिकायत है
कि इस नाराज़गी की भी शिकायत क्यूँ नहीं करते

कभी अल्लाह-मियाँ पूछेंगे तब उन को बताएँगे
किसी को क्यूँ बताएँ हम इबादत क्यूँ नहीं करते

मुरत्तब कर लिया है कुल्लियात-ए-ज़ख़्म अगर अपना
तो फिर 'एहसास-जी' इस की इशाअ'त क्यूँ नहीं करते

  - Farhat Ehsaas

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Farhat Ehsaas

As you were reading Shayari by Farhat Ehsaas

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Ehsaas

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari