aurat hoon magar soorat-e-kohsaar khadi hoon | औरत हूँ मगर सूरत-ए-कोहसार खड़ी हूँ - Farhat Zahid

aurat hoon magar soorat-e-kohsaar khadi hoon
ik sach ke tahaffuz ke liye sab se ladi hoon

vo mujh se sitaaron ka pata pooch raha hai
patthar ki tarah jis ki angoothi mein jadi hoon

alfaaz na awaaz na hamraaz na dam-saaz
ye kaise dorahe pe main khaamosh khadi hoon

is dast-e-bala mein na samajh khud ko akela
main chob ki soorat tire kheme mein gadi hoon

phoolon pe barasti hoon kabhi soorat-e-shabnam
badli hui rut mein kabhi saawan ki jhadi hoon

औरत हूँ मगर सूरत-ए-कोहसार खड़ी हूँ
इक सच के तहफ़्फ़ुज़ के लिए सब से लड़ी हूँ

वो मुझ से सितारों का पता पूछ रहा है
पत्थर की तरह जिस की अँगूठी में जड़ी हूँ

अल्फ़ाज़ न आवाज़ न हमराज़ न दम-साज़
ये कैसे दोराहे पे मैं ख़ामोश खड़ी हूँ

इस दश्त-ए-बला में न समझ ख़ुद को अकेला
मैं चोब की सूरत तिरे खे़मे में गड़ी हूँ

फूलों पे बरसती हूँ कभी सूरत-ए-शबनम
बदली हुई रुत में कभी सावन की झड़ी हूँ

- Farhat Zahid
1 Like

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Zahid

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari