aapke aur mere fasaane se hai | आपके और मेरे फ़साने से है - SAFEER RAY

aapke aur mere fasaane se hai
mujhse roothe hai ya phir zamaane se hai

ek bacche sii zid hai wafa kii meri
aap kahte hain mujhko sayaane se hai

yun to ro bhi chuka hoon main unke liye
mujhko matlab unhen bas jataane se hai

dar hai unko mere paas aane se kyun
mera dar unke ab door jaane se hai

umr bhar ke liye saath ko jo kaha
bole hans kar ke vo kis zamaane se hai

fikr hai ab kahaan raasta ho kahin
ab to matlab mujhe ghar ko jaane se hai

आपके और मेरे फ़साने से है
मुझसे रूठे है या फिर ज़माने से है

एक बच्चे सी ज़िद है वफ़ा की मेरी
आप कहते हैं मुझको सयाने से है

यूँ तो रो भी चुका हूँ मैं उनके लिए
मुझको मतलब उन्हें बस जताने से है

डर है उनको मेरे पास आने से क्यूँ
मेरा डर उनके अब दूर जाने से है

उम्र भर के लिए साथ को जो कहा
बोले हँस कर के वो किस ज़माने से है

फ़िक्र है अब कहाँ रास्ता हो कहीं
अब तो मतलब मुझे घर को जाने से है

- SAFEER RAY
9 Likes

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SAFEER RAY

As you were reading Shayari by SAFEER RAY

Similar Writers

our suggestion based on SAFEER RAY

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari