aadmi ki hayaat mutthi bhar | आदमी की हयात मुट्ठी भर

  - Ghani Ejaz

aadmi ki hayaat mutthi bhar
ya'ni kul kaayenaat mutthi bhar

haath bhar ka hai din bichhadne ka
aur milne ki raat mutthi bhar

kya karoge samet kar duniya
hai jo duniya ka saath mutthi bhar

kar gaya kisht-e-aarzoo shaadaab
aap ka iltifaat mutthi bhar

aur milna bhi kya saraabo se
ret aayegi haath mutthi bhar

hausla yun na haarte ejaz
ho gai thi jo maat mutthi bhar

आदमी की हयात मुट्ठी भर
या'नी कुल काएनात मुट्ठी भर

हाथ भर का है दिन बिछड़ने का
और मिलने की रात मुट्ठी भर

क्या करोगे समेट कर दुनिया
है जो दुनिया का साथ मुट्ठी भर

कर गया किश्त-ए-आरज़ू शादाब
आप का इल्तिफ़ात मुट्ठी भर

और मिलना भी क्या सराबों से
रेत आएगी हाथ मुट्ठी भर

हौसला यूँ न हारते 'एजाज़'
हो गई थी जो मात मुट्ठी भर

  - Ghani Ejaz

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghani Ejaz

As you were reading Shayari by Ghani Ejaz

Similar Writers

our suggestion based on Ghani Ejaz

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari