adhuri na-shuneeda dastaan hoon
ki shaayad main sama'at par garaan hoon
khayaalon mein bhi kuchh vaazeh nahin hai
yaqeen ki god mein palta gumaan hoon
lab-e-izhaar chup hai meri khaatir
abhi haan aur nahin ke darmiyaan hoon
bulandi par hawa le ja rahi hai
charaagh-e-jism se uthata dhuaan hoon
kashish bazaar ki roke hue hai
abhi main apne ghar pahuncha kahaan hoon
mujhe paoge dil ke paas har dam
jahaan mehsoos kar loge wahan hoon
mere andar hai poshida qayamat
kamaal-e-zabt ka ik imtihaan hoon
hue ejaz boodhe tum magar main
khuda ke fazl se ab tak jawaan hoon
अधूरी ना-शुनीदा दास्ताँ हूँ
कि शायद मैं समाअ'त पर गराँ हूँ
ख़यालों में भी कुछ वाज़ेह नहीं है
यक़ीं की गोद में पलता गुमाँ हूँ
लब-ए-इज़हार चुप है मेरी ख़ातिर
अभी हाँ और नहीं के दरमियाँ हूँ
बुलंदी पर हवा ले जा रही है
चराग़-ए-जिस्म से उठता धुआँ हूँ
कशिश बाज़ार की रोके हुए है
अभी मैं अपने घर पहुँचा कहाँ हूँ
मुझे पाओगे दिल के पास हर दम
जहाँ महसूस कर लोगे वहाँ हूँ
मिरे अंदर है पोशीदा क़यामत
कमाल-ए-ज़ब्त का इक इम्तिहाँ हूँ
हुए 'एजाज़' बूढ़े तुम मगर मैं
ख़ुदा के फ़ज़्ल से अब तक जवाँ हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghani Ejaz
our suggestion based on Ghani Ejaz
As you were reading Khushboo Shayari Shayari