bazm-e-aalam mein sada ham bhi nahin tum bhi nahin
munkir-e-roz-e-jazaa tum bhi nahin ham bhi nahin
sar-firi tund hawa ham bhi nahin tum bhi nahin
mulk-dushman b-khuda ham bhi nahin tum bhi nahin
kis ke eemaa pe hai ye khoon-kharaaba ye fasaad
qaail-e-jau-o-jafaa ham bhi nahin tum bhi nahin
jaan aapas ki buraai mein ganwa den apni
is qadar khud se khafa ham bhi nahin tum bhi nahin
ham ko dastoor ne bakshe hain barabar ke huqooq
koi kamtar na siva ham bhi nahin tum bhi nahin
jazb hai khaak-e-watan mein jo buzurgon ka lahu
is ki mitti se juda ham bhi nahin tum bhi nahin
बज़्म-ए-आलम में सदा हम भी नहीं तुम भी नहीं
मुंकिर-ए-रोज़-ए-जज़ा तुम भी नहीं हम भी नहीं
सर-फिरी तुंद हवा हम भी नहीं तुम भी नहीं
मुल्क-दुश्मन ब-ख़ुदा हम भी नहीं तुम भी नहीं
किस के ईमा पे है ये ख़ून-ख़राबा ये फ़साद
क़ाइल-ए-जौ-ओ-जफ़ा हम भी नहीं तुम भी नहीं
जान आपस की बुराई में गँवा दें अपनी
इस क़दर ख़ुद से ख़फ़ा हम भी नहीं तुम भी नहीं
हम को दस्तूर ने बख़्शे हैं बराबर के हुक़ूक़
कोई कमतर न सिवा हम भी नहीं तुम भी नहीं
जज़्ब है ख़ाक-ए-वतन में जो बुज़ुर्गों का लहू
इस की मिट्टी से जुदा हम भी नहीं तुम भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghani Ejaz
our suggestion based on Ghani Ejaz
As you were reading Gussa Shayari Shayari