khwaahishein apni saraabo mein na rakhe koi | ख़्वाहिशें अपनी सराबों में न रक्खे कोई

  - Ghani Ejaz

khwaahishein apni saraabo mein na rakhe koi
in hawaon ko habaabon mein na rakhe koi

chand lamhon ka ye jeena hai ghaneemat jaano
zindagi apni azaabon mein na rakhe koi

aaj har fard hai ik hasrat-e-taabeer liye
ab khayaalaat ko khwaabon mein na rakhe koi

kaam tahqeeq ke unwaan pe badhega kaise
gar sawaalon ko jawaabon mein na rakhe koi

ye bhi kya zid hai ki kaanton ko mahakne deeje
ya'ni khushboo ko gulaabon mein na rakhe koi

nekiyaan kitni hain ejaz hisaar-e-dil mein
khoobiyaan hon to kharaabon mein na rakhe koi

ख़्वाहिशें अपनी सराबों में न रक्खे कोई
इन हवाओं को हबाबों में न रक्खे कोई

चंद लम्हों का ये जीना है ग़नीमत जानो
ज़िंदगी अपनी अज़ाबों में न रक्खे कोई

आज हर फ़र्द है इक हसरत-ए-ताबीर लिए
अब ख़यालात को ख़्वाबों में न रक्खे कोई

काम तहक़ीक़ के उनवाँ पे बढ़ेगा कैसे
गर सवालों को जवाबों में न रक्खे कोई

ये भी क्या ज़िद है कि काँटों को महकने दीजे
या'नी ख़ुशबू को गुलाबों में न रक्खे कोई

नेकियाँ कितनी हैं 'एजाज़' हिसार-ए-दिल में
ख़ूबियाँ हों तो ख़राबों में न रक्खे कोई

  - Ghani Ejaz

Eid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghani Ejaz

As you were reading Shayari by Ghani Ejaz

Similar Writers

our suggestion based on Ghani Ejaz

Similar Moods

As you were reading Eid Shayari Shayari