tishna-lab hoon udaas baitha hoon
main samundar ke paas baitha hoon
vo nigaahen churaaye baithe hain
main saraapa sipaas baitha hoon
main bhi kya qaatilon ki basti mein
le ke jeene ki aas baitha hoon
aap kya zarf aazmaate hain
pee ke barson ki pyaas baitha hoon
ik mukammal kitaab tha pehle
ho ke ab iqtibaas baitha hoon
aakhiri din hain umr ke ejaz
qabr ke aas-paas baitha hoon
तिश्ना-लब हूँ उदास बैठा हूँ
मैं समुंदर के पास बैठा हूँ
वो निगाहें चुराए बैठे हैं
मैं सरापा सिपास बैठा हूँ
मैं भी क्या क़ातिलों की बस्ती में
ले के जीने की आस बैठा हूँ
आप क्या ज़र्फ़ आज़माते हैं
पी के बरसों की प्यास बैठा हूँ
इक मुकम्मल किताब था पहले
हो के अब इक़्तिबास बैठा हूँ
आख़िरी दिन हैं उम्र के 'एजाज़'
क़ब्र के आस-पास बैठा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghani Ejaz
our suggestion based on Ghani Ejaz
As you were reading Samundar Shayari Shayari